20/05/2016

JAZAKALLAHU KHAIR MEANING

"Jazak Allah aur jazakallah khair"

👉Jazakallah k piche grammar ki jankari.

Jazaak Jo lafz hai wo "jazaa" root word se aya hai .jo ki mashoor Arabic -English dictionary , al mawrid, jiske 2 maani hai aur wo bilkul uske opposite hn..
🔵jazaa ka Jo sahi maani Jo hai o "sawab" ya "sazaa" koi b hosakta hai.
🔵isliye: "jazakallah" ka matlab "Allah apko sawab de" ya "sazaa de" aisa b hosakta hai .jabki "jazakAllah khair" ka matlab "Allah apko sawab de or behtar de "
🔵isliye jazakallah khair kahna sahi tareeka jabki sirf jazakallah kahna teek nahin. Par kuch log ka kahna hai ki jazak Allah Jo hai bilkul jazak allahu khayran ki tarah hai .. Aisa hai toh fir aap kyun mukammal lafz nahi kahte jaisa ki hamare nabi sallahu alaihiwa sallam  ne aur unke sathi log(sahaba) kaha karte the Jo ki "jazak allahu khayran! Hai.

🔵jazak allahu khair situation par depend hai :Jaisa ke
💕mardon k liye👉jazak allahu khair.
💕auraton k liye👉jazaki allahu khair.
💕plural(ek se zyada)👉jazakum allahu khair hai

💖jazakallah khiar k sath barakallahu feek b milayiye jiska mtlb hai " Allah k rahmaten hon aap par "
🔵agar koi hame jazakallahu khair kahe toh ham kya jawab den:
👉1⃣wa antum fa jazakumullahu khyran jiska mtlb hai "aur apko b, Allah sawab de khair k sath".
➡Sunnat se sabit-  usayd ibn haydar (sahabi)se riwayat hai ki unhone kaha: aye allah k rasool sallahu alaihiwa sallam جزاك الله خيرا jazakallahu khayran.

Toh aap sallahu alaihiwa sallam ne kaha: وانتم فجزاكم الله خيرا wa antum fa jazakumullahu khayran
( aur aap ko b Allah sawab de khair k sath).
[Albaani ne kaha hadees sahi al-saheeha 3096 ,al-ta'leeqaatul hisaan al saheeh ibn hibban 6231]
👉2⃣wa iyyakum واياكم mtlab " aur achchai ho apko bhi"
A ek aam lafz hai Jo har log se istemal huwa karta hai..

Magar iske related aap sallahu alaihuwa sallam ki koi sunnat se daleel nhii.
🔴Note : Jo Sahi sunnat hai ki jazakallahu khair ya barakaAllahu feek kahe naa ki shukran ya thanks
Aur jawab aisa dein " wa antum fa jazakumullahu khayran " .

🌹Ab ham in shaa Allah sunnat  tareeke se apni zindagi guzarenge aur dusron ko b sunnat pe laneki koshish karenge🌹

💕جزاك الله خيرا💕

5 comments :