Showing posts with label JAHANNUM. Show all posts
Showing posts with label JAHANNUM. Show all posts

12/04/2017

Jahannam me maut nahi hogi, 


๐Ÿ”ฅ Jahannam K Azaab ki haulnaki

๐Ÿ”ฅ Jab Jahannam Kafiron Ko dekhegi to gusse se cheeqe gi, jise sun kar Kafiron k ausaan khata ho jayenge.

Mafhum E Quran hai๐Ÿ‘‡๐Ÿป
Jab Jahannam Kafiron Ko door se dekhegi to kafir Jahannam ka gusse se cheeqna chillana sun lenge

(Surah Furqan_ A.12)

๐Ÿ”ฅ Jab kafir Jahannam me phenke jayenge to wo Jahannam K dahaadne ki haulnak awaazein sunenge, Jahannam Josh kha Rahi hogi, Aisa malum hoga k gusse k maare Abhi phatt jayegi.

(Surah Mulk_A.7---8)

๐Ÿ‘‰๐Ÿป Mafhum E Quran hai ๐Ÿ‘‡๐Ÿป

Aye logon Jo iman laye ho Apne apko aur Apne ahl o ayaal Ko is Aag se bachao jiska endhan Insan aur Patthar honge jis par nihayat tund khu aur saqt geer farishte muqarrar honge Jo kabhi Allah k hukm ki naa'farmani nahi krte, Jo hukm inhe diya jata hai usey baja laate hai

(Surah Tahreem_A.6)

๐Ÿ”ฅ Jahannumiyon ki skin jab jal jayegi to fauran dusri skin paida kardi jayegi taaki Azaab Dene ka Silsila naa tutey..
(Surah Nisaa_A.56)

๐Ÿ”ฅ Saari zindagi duniya ki badi badi nematon se faida uthane wala saqs Jahannam ki ek jhalak dekhte hi duniya ki sari nematon Ko bhool jayega..

๐Ÿ”ฅ Jahannam me maut nahi hogi, agar maut Hoti to jahannami, Jahannam k Azaab se ghabraa kar mar jate...

✏ To b continue...

09/04/2017

Jahannum Ka Bayan. -Part -

                   ุจุณู… ุงู„ู„ู‡ ุงู„ุฑุญู…ู† ุงู„ุฑุญูŠู… 

๐Ÿ”ฅ Jahannum ka chotha 4th darja Saqaraa hai.. yani saqt jhulsaa Dene wali jaga..
๐Ÿ‘‰๐ŸปAn'qareeb Mai use saqt jhulsaa Dene wali jaga me jhonk Dunga, tum kya jano wo saqt jhulsaa Dene wali jaga kya hai?  Na baqi rakhe na chode khaal Ko jala kar kaala kar Dene wali..
(Surah Muddassir_ A. 26---29)

๐Ÿ”ฅ Jahannum ka panchwa 5th darja Lazaa hai.. yani bhadakti huwi Aag ki lapet..
๐Ÿ‘‰๐Ÿป Hargis nahi... Wo to bhadakti huwi Aag ki lapet hai jo sar aur muh ki khaal udhed degi Pukar Pukar kar apni taraf bulayegi har us saqs Ko jisne Haqq se muh moda, peett pheri, maal jama Kiya aur karch na Kiya..
(Surah Ma'arij_A. 15---18)

๐Ÿ”ฅ Jahannum ka chatta 6th darja Sa'eerun hai.. yani dahekti huwi Aag..
๐Ÿ‘‰๐Ÿป Qayamat k din kafir kahenge kash hum duniya me gaur se sunte ya samjhte to aaj is dahekti huwi Aag k saza'waron me Shamil Na hote, is tarha wo Apne qasuron ka khud aitraaf karenge.. laanat hai un jahannumiyon par..
(Surah Mulk_ A. 10--11)

๐Ÿ”ฅ Jahannum k aaqri darje ka Naam Zamhareer hai, jisme shadeed sardi ka azab diya jayega.

๐Ÿ‘‰๐ŸปYeh (Naik log) wahan (yani Jannat me)  takhton par takiye lagaye huwe bethein ge, na wahan aftab ki garmi dekhein ge ja sardi (zamhareer) ki saqti..
(Surah Daher_A.13)

๐Ÿ”ฅ Jahannum ki ek vaadi ka Naam Wayeel bhi hai.. yani halakat o barbadi...
๐Ÿ‘‰๐Ÿป Kafiron Ko hukm Hoga, chalo us saye ki taraf Jo teen shaqon wala hai, na thandak ponhchane wala na Aag ki lapet se bachane wala. Ye Aag mahel Jaisi badi badi chingariyan phekengi, yun mehsus Hoga jaise zard rang k oont (camels) hain. Halakat o barbadi hogi us Roz jhutlane walon k liye..
(Surah Mursalaat_ A. 30---34)
✏ To be continue..

Jahannum ka Bayan - Part-2

Jahannum k Darjaat
Jahannum k alag alag Darjaat hain. Sab se nichle darje me shadeed tareen azaab Hoga aur oopar wale darje me sab se kamtar darje ka azaab Hoga.

* Yaqeenan Munafiq jahannum k sab se nichle darje honge. Aur tum kisi Ko unka madadgar na paoge. (Surah Nisaa_ A. 145)

Jahannum k Darjaat muqtalif gunahon k mutabiq muqtalif azaabon k liye maqsoos hogi.. wallahu aalam..

๐Ÿ”ฅJahannum ka pehla darja Al'jaheem hai.. yani bhadakti huwi Aag ka gad'ha..
๐Ÿ‘‰๐Ÿป Jisne sarkashi iqtiyar ki, aur duniya ki zindagi ko tarjeeh di uska thikana bhadakti huwi Aag ka gad'ha Hoga. (Surah Naziyaat_ A. 37---39)

๐Ÿ”ฅ Jahannum ka doosra darja Al'hutamah hai. Yani  chakna'choor kar Dene wala..
๐Ÿ‘‰๐ŸปHargis nahi... Wo saqs chakna'choor kar Dene wali jaga me phenk diya jayega aur tum kya jano wo chakna'choor kar Dene wali jaga kaisi hai? Allah ki Aag hai khoob bhadakti huwi..
(Surah humazah_ A.4--6)

๐Ÿ”ฅ Jahannum ka teesra darja Haawiyatu hai.. yani gehri khaai..
๐Ÿ‘‰๐ŸปAur jinke meezan halke honge unki jaga gehri khaai hogi aur tumhe kya malum wo gehri khaai kya hai? Bhadakti huwi Aag hai..
(Surah Qaariyah_ A.8---11)
✏ To be continue..

Jahannum ka Bayan - Part -1

Bismillahirrahamanirrahim

Jahannum bohat hi buri qiyamgaah aur bahht hi Bura thikana hai. Jise Allah taala ne kafiron, mushrikon aur fasiqon o fajiron k liye tayyar kar rakha hai.

Allah ne Quran me Jannat aur jahannum dono ka badi tafseel se zikr farmaya hai, aur un dono me se aag aur jahannum ka zikr zyada martaba Kiya Gaya hai.

Quran me jahannum k bare me di gayi baaz details ye ๐Ÿ‘‡ hain..

1. Jahannum ko dekhte hi kafiron k faces black ho jayenge. (Surah Yunus_ A.27)

2. Jahannumi azaab se tang aakar maut talab karenge laikin unhe maut nahi ayegi (surah Furqan_ A. 13)

3. Jahannum ki Aag un logon k chehre ka gosht jalaa dalegi aur un k jabdey (gums) bahar nikal ayenge (surah mominoon_ A. 1--4)

4. Jahannum ki Aag na Zinda chodegi na Marne degi. (Surah Aala_ A.13)

5. Jahannum ki Aag logon Ko chiknaa choor kardegi (surah humazah_A.4)

6. Jahannum me kafiron Ko band karke oopar se doors band kar diye jayenge. (Surah humazah_ A. 8--9)

7. Jahannum me kafir phankarein marenge aur shor itna hoga k, kaano padi awaaz sunai na degi. (Surah Ambiyaa_ A. 100)

8. Jahannumiyon Ko thohar ka zehreela Kaante daar badbu daar daraqt (tree) khane k liye diya jayega. (Surah duqqan_ A.43)
Iske ilawa ✏ To be continue...