Showing posts with label Arafah ka roza. Show all posts
Showing posts with label Arafah ka roza. Show all posts

25/08/2016

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part- 7

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

7-Aurto, baccho aur buddhon ke liye Haj jihaad hai:

Hazrat Aisha (Radi Allahu Anha) ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya ke hum bhi kyn na Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saat jihaad aur ghazwo mein jaya kare? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhaare liye sab se accha aur munasib jihaad Hajj hai, aisa Hajj jo maqbool ho. Hazrat Aisha (Radi Allahu Anha) bayaan karti hai ke jab se main ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye irshaad suna hai main ne kabhi Hajj nahi chorda.
Sahih Bukhari 1861.

8-Har saaheb isteta’at par hajj farz hai:

Allah ta’ala ne un logo par jo us ki taraf raaste (yaani akhrajaat wagiayra) ki taaqat rakhte ho, us ghar (yaani Baitullah) ka hajj fardh kiya hai.
Surah Aale Imran ayat 97.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai Jo shakhs (Hajj farz Hone ke baad) Hajj kiye bagair mar jaaye to wo chahe to Yahudi hokar mare ya Nasrani ho kar mare. (Tirmizi, Jild -1 Safa -167)

9-Hajj zindagi mein sirf ek martaba fardh hai:

Hazrat Ibn Abbas (Radi Allahu Anhu) se marvi marfo rivayat mein hai ke haj ek martaba (fardh) hai, aur jis ne zyaada kiya to wo nafli Hajj hai.
(Sahih Abu Dawood 1514)

Hajj ke liye sharaayat:

1.Mardh ke liye: Islam tasleem karna, baaligh hone, aqal mandh hona, azaad hona (yaani ghulaami mein na hona), isteta’ath hona.

2. Aurto ke liye: Islam tasleem karna, baaligh hone, aqal mandh hona, azaad hona (yaani ghulaami na hona), isteta’ath hona, mahram ka saath hona aur iddat mein na hona.

TO BE CONTINUED IN SHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part -6

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Haj ki Mukhtasar Tareef: Baitullah ki tameer sab se pehle Allah ta’ala ke hukm se farishto ke haatho amal mein aayi. Phir jab Nuh (Alayhis  Salam) ke zamaane mein tofaan aya to baitullah ke asaar bhi mit gaye. Tofaan Nuh ke baadh Allah ta’ala ke hukm se sab se pehle Ibraheem (Alayhis  Salam) aur Ismail (Alayhis  Salam) ne Baitulah ki tameer ki. Jab duno ne tameer shuru ki to Allah ta’ala se dua karte jaate jis ke baare mein Qur’aan majeed mein Allah ta’ala ne farmaya -

"Aye hamare parvardigaar hamari is khidmat ko qubool farma, yaqinan tu sunne waala jaanne waala hai"
(Surah Baqara Ayat 127)

Jab tameer mukammal ho gayi to Allah ta’ala ne Ibraheem (Alayhis  Salam) ko hukm diya ke logo ko haj ke liye daawat do jis ke baare mein Allah ta’ala ne Qur’aan mein farmaya -

" Logo mein Haj ka elaan kar do, log tere paas pyaade bhi ayenge aur doble pathle onto par bhi door daraaz ki tamaam raaho se ayenge."
(Surah Hajj Ayat 27)

Phir isi tarah hoa aur us waqt sejo silsila shuru hoa to aaj bhi jaari hai aur Insha Allah qiyamat tak ye silsila jaari rahega.

"Haji ki agar Maut aa gaee to Qayamat ke din Labbaik kahta hua utheyga."

Hazrat Ibn Abbas Radi allahu anhuma se rivayat hai ki ek shaksh maidan Arafat mein tha ki apni sawari se gir parha aur mar gaya (ya sawari ne unhe kuchal diya ) Nabee sallallahu alaihi wasallam ne farmaya pani aur beri ke patton se use ghusal do aur Do kapdo mein unhe kafan do aur farmaya ki inhe khushbu na lagao aur na inka sir chupao kyunki ye Qayamat ke din Labbaik kahta hua utheyga.
(Sahih Bukhari, Vol 2, 1265)

 4. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  par Haj kab fardh hoa: Jamoor ulema ki ye raaye hai ke Haj 9 hijri mein fardh hoa jis ke baadh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abubakr Siddiq (Radi Allahu anhu) Makkah ravana kiya ta ke logo ko Haj ke manasik bata diye jaaye, unhone Haj ke dauraan hee elaan karvaya ke aaj ke baad  na koi mushrik ko Haj ki ijazat hai aur na hee koi nanga ho kar tawaaf kare. Phir ayinda saal yaani 10 hijri mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Hajj ke liye Makkah tashreef laaye jise Hajjatul Wida kaha jaata hai.

5-Umrah gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor ka badla Jannat hai.

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ek umrah dosre umrah tak duno ke darmiyaani gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor (yaani jis mein kisi qism ke gunaah ka irtekaab na ho) ka badla jannat ke alawa aur koi nahi .
(Sahih Bukhari 1773):

6 - Hajj karne wala gunaaho se paak ho jaata hai:

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis ne haj kiya (aur us mein ) na aurto ke qareeb gaya aur na hee koi fasq wa fujoor ka kaam kiya to wo apne gunaaho se (paak saaf ho kar) us din ki tarah lautega jis din us ki maa ne us ko jana.
Sahih Bukhari 1521.

TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an 

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part- 5

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

   Sayee: Safa marwah ke 7 chakkar lagane ko sayee kahte  hai. Shuru safa se kare aur sayee ek chakkar ki masafat adha kilometer hai aur total 7 chakkar ke sade teen kilometer 3 1/2 km hote hai.

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab safa se saee shuru kartey to padhtey

 'Innas-Safa wal-Marwata min sha'a"irillah.
 Surah Al-Baqarah [2:158]

Fir kabe ki taraf muh karke ye duwa padhe:

Allah hu Akber Allah hu Akber , Allah Hu Akbar, Allah hu Akber La’ilaha illalhu wahadahu la sharika lahu’lahul mulku walhul hamdu yuhyi wa yumitu wahuwa ala kulli shaeen kadeer.
La’ilaha illalhu wahadahu la sharika lahu anjazah waadahu wa na sara abdahu wa hajhmal  ahazaba wahadahu.

Ise 3 martaba padhna hai aur sirf pahle aur dusre martaba padhne ke baad duwa kare
{Sahi Muslim Hadees 1218}.

Safa se marwa ek chakkar aur marwa se safa dusra chakkar is tarike se saath chakkar lagane hai . aur marwa per chakkar khatam hoga. Sayee ke 7 chakkar safa se shuru hokar marwa per khatam hongey.

Sayee karte waqt jab hari light ke pass jayen to to mard hazrat dourdn bhagen. Aur aurtein na doude aur ye duwa kare. Aas Safa se lekar al marwa aur al marwa se lekar as safa ke darmiya yeh duwa pardhna jayaz hai.

“ Rabbig Fir’Waraham inna’ka Antal A’azzul Akram.
(A mere Rab meri magfirat farma aur mujhper rahma kar tu sabse zyada azmat wala aur karam karne wala hai.)

Sayee k Baad kuch log do rekat Nafl padhtey hain ye Biddat hai... Nafl sirf  Tawaf k baad hi padhni hai.

Sayee ke 7 chakkar muqammal hone ke baad. Masjid e haram se nikalte waqt ye duwa padhe jaise har masjid se nikalte waqt padhte hai.

Allahumma salli ala mohammadiv wa sallim Allahhumma inni as aluka min fazlik.

Phir mard hazrat pure sar ke baal mundwaye aur aurte sare sar ke baal ungli ke ek pore ki lambai se kuch zyada kate ab apka umrah muqammal hoga gaya. aur  ehraam khul gaya aur tamam pabandiya khatam ho gayi.

Apka Umrah Maukkamal hua, Ab aap aam dino me jaise halal kaam kiya karte the abb aap per wo tamam cheesen halal hai.

TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part -3

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Niyyat Dil Ke iraade kaa naam hai.  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hajj aur umrah ki niyyat zabaan se or Awaaz se ki hai.

Umrah ke safar me ihram bandhne se pahele Tasbeeh, Tahleel, aur Takbeer ya koi aur adhkar Padhna Mustahab hai .

Tasbeeh: SubhanAllah, Tahleel: Laa ilaaha ill-Allaah,Takbeer: Allahu Akbar
{Sahi Bukhari Hadees No.1548}

yeh sirf aur sirf Meeqat Pahuchkar Ihram bandhne se pahele padhna hai, Ihram bandhne ke baad nahee, Ihram bandhne se muraad hai Umrah ki niyyat karna.

Umrah (Tawafful Kuddum): Miqaat Pahuch kar Ehraam Bandhle Ehraam Ghar Se bhi bandha ja sakta hai. lekin Niyyat Duwa aur Talabiya Miqaat pahuch kar karna  hai. Agar aap Ehraam Ghar se bandhkar kar plain ka safar kar rahe hai to . Miqaat ane se pahle apko bata diya jayega announcement ke zariye. tab aap niyyat aur talbiya pukarna shuru kar de.

Ehraam bandhne ke baad  ki koi khaas namaz nahi hai jaise aaj logo ne bana rakhi hai. Agar waqt ho to dakhile masjid ki 2 rakat nafl padhle tab jab aap masjid me dakhil ho aur us waqt farz namaz ka waqt na ho ya farz namaz ki jamat naa khadi ho to.

Miqaat per Ehram bandhne ke baad Umrah ki niyyat Duwa: aise kare .

“Labbaik Allah’humma Bee Umrah”
(A Allah My hazir hu umrah ke sath).

Ab apka kafila miqaat se hokar  haram ki taraf badega . Abb Mard Ba Awaze buland talabiya padhe aur aurtein Ahista se padhe. Auraat ke liye jayaz nahi ki Aurat ki Awaz na mahram ke kano tak pahuch jaye. Isiliye Aurtein Ahista se talbiya kahe.

Talbiya: “  Labbaik Allah’humma labbiak, Laa sharika’Lak labbaik, innal hamda wan’nemataa laka’wal mulk  laa sharik’ lak.( A Allah my hazir hu apka koi sharik nahi hai. My hazir hu, beshak tamam tarife aur tamam  nemaate apke liye hai. Aur hukumat saltanat apki hai. Apka koi sharik nahi.)
{Sahi Bukhari Hadees No.5571 & Sahi Muslim Hadees No. 1184, Sahih Muslim, Vol 3, 2811}

Talbiya kahne wale ke saath Sab paththar, Darakht aur dhele bhi Talbiya kahte hain

Hazrat Sahl bin Sad As-Saidi Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu- Alaihi-Wasallam ne farmaya jab Talbiya kahne wala Talbiya kahta hai to uske daye ( right side) aur baye (left side) zameen ke dono kinaro tak sab paththar, Darakht aur dhele bhi Talbiya kahte hain.
Sunan Ibn Majah, Vol 2 , # 1078 (Hasan)

Talabiya ko pukarna , Ehraam aur Niyyat bandhne se shuru kare aur khatam tawaf shuru karne se pahle . tawaf shuru karne se pahle talabiya kahna band karde. Aur Masjid E Haram me waisey hi dakhi ho jaise dusre masjido me sunnat tariqe se dakhil hote hai. Masjide Haram me sidhe pair se dakhil hokar ye duwa padhe:

Auzubillahi Min’nashaitaan nir razzim Bismillah hir Rahman nir raheem“ Allah’humma salli’ala mohammadiv Wa Sallim, Allah’humma fa’tahli Abwaba Rahmtik. (A Allah rahmat nazil farma mohammed Sallelaho Alayhi Wa sallam per! Aur Allah mere liye rahmat ke darwaze kholde”).

TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an 

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part-1

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

1  - Hajj ke maani: Hajj ke lafzi maani hai iraada karna, Hajj ke istelaahi maani hai makhsoos afaal ki adyegi ke liye masjid haram ki taraf (safar) ka irada karna Hajj keh lata hai.

2-Umrah ke Maani: Umrah ke lafzi maani hai irada karna ya ziyarat karna Umrah ke istelaahi maani hai miqaat se ehraam baandh kar tawaaf baitullah aur safa marwa ki sayee karna aur baal mundwana umrah hai.

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne umrah apni zindagi me 4 martaba ada farmaya hai aur hajj sirf 1 martaba jo apka pehla aur akhri Hajj tha, uska naam Hajjatul Wida hai. Is talluq se (Abu dawood aur Musnad Ahmad ne riwayat nakal ki hai.

Jo usmein ( Makka mein) dakhil ho jata hai wo aman wala ho jaata hai .

AL Quran : Beshak logon ke waste jo sabse pehla ghar muqarrar huwa wo yahi hai jo Makka mein barkat wala hai aur sare jahan ke logon ke liye rahnuma hai Ismein Zahir nishaniyah hain , Muqam-e-Ibrahim hai, aur jo usmein dakhil ho jaye wo aman wala ho jaata hai aur logon par is ghar ka HAJJ karna Allah ka haq hai jo shaksh us tak pahunchne ki taqat rakhta ho, aur jo inkaar kare to phir Allah jahan walon se be parwah hai.
Surah Aal-e-Imran(3) Verse: 96-97 .

“Umrah gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor ka badla Jannat hai.”

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya HAJJ mabrur ka jannat ke siwa koi sila nahi hai aur ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai.
Sunan Nasaii, Vol 2, 533 – Sahih

TO BE CONTINUED IN SHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an
_____ _________
_______________

21/09/2015

Fasting on the day of Arafah / Arafah ka roza

                               Bismillahirrahamannirrahim

                                          HADEES

*Abu Qatada Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisney Arafah (9 Dhul Hijja) ke din ka roza rakha, main Allah se ummed karta hu ki uskey ek saal agle aur ek saal pichle gunaah maaf kar diye jayengey

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1731-Sahih

    ————————————————

 * It was narrated from Abu Qatadah radi allahu anhu that the Messenger of Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam said Fasting on the Day of Arafah, I hope from Allah, expiates for the sins of the year before and the year after.
Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 7, Hadith 1730-Sahih