-(Adam (Alaihissalam) Se Le Kar Qayamat Tak Fitna-E-Dajjal Se Bada Fitna Aur Koi Nahi Hoga – (Muslim Sharif)
(Dajjal Qayamat Se Qabil Zaahir Hoga)–(Muslim Sharif)
-(Dajjal Ke Sar Pe Bahut Zyada Baal Honge).-(Ibne Majah).
-(Dajjal Ke Sar Pe Bahut Zyada Baal Honge).-(Ibne Majah).
-(Dajjal Iran Ke Shaher Khurasan Se Niklega).– (Ibne Majah)
-(Dajjal Us Waqt Zaahir Hoga Jab Log Us Se BIlkul Ghaafil Ho Chuke Honge). -(Ahmad)
-(Kisi Baat Par Gazab Naak Hona Dajjal Ke Nikalne Ka Sabab Banega .(Muslim Sharif).
-(Dajjal Bahare Hind Ke Kisi Na Maloom Jazeera Par Zanjeeron Se Jakda Huwa Hai).–(Abu Dawood)
-(Madine Ke Yahoodi Gharane Me Paida Hone Wala‘Saaf’Dajjal Hai).
-Dajjal Ki Ek Aankh Kaan Aur Uska Sar Ke Baal Ghungrale Honge Rang Surkh Aur Jism Bhaari Hoga.Dajjal Ki Dono Aankhon Ke Darmiyaan ‘Kaafir’ likha Hoga.-(Bukhari shariff)..
-Allah Ke Fazal Se Anpad Ahle Imaan bhi Dajjal Ki Paishani Par ‘Kaafir’ (disbeliever) Lafz Padh Kar Use Pehchaan Lenge.(Muslim Sharif).
-(Dajjal Ke Paas Jannat Aur Jahannam Dono Honge Us Ki Jahannam Jannat Hogi Aur Jannat Jahannam Hogi.-(Muslim Sharif)
-Dajjal Ke Paas Paani Hoga Jo Asal Me Aag Hogi Aur Aag Hogi Jo Asal Me Meetha Pani Hoga. – (Muslim Sharif)
- Dajjal Ka Hukum Se Aasmaan Se Barish Hogi, Zameen Se Ghaas, Anaaj Wagaira Ugega Jaanwar Pehle Se Zyada Dhood Dena Shuru Kar Denge. – (Muslim Sharif).
- Dajjal Ke Zaahir Hone Ke Baad Kisi Ka Imaan Lana Allah Ke Yahan Qabool Nahi Hoga.- (Muslim Sharif).
- Jo bhi Shakhs Dajjal Ka Zamana Paye Wo Dajjal Ke Samne Na
Jaaye. - (Abu Dawood).
- Fitn-E-Dajjal Se Dar Kar Musalman Pahadon Me Chup Jayenge. (Muslim Sharif).
-Dajjal DuniyaKe Har 1 Shaher Me Dakhil Hoga Sirf Do Shahron Ke Alawa Wo Makkah Mukarramah Aur Madina Munawarah.– (Muslim Sharif).
- Fitn-E-Dajjal 1 Saal 2 Mahine Aur 2 Hafte Hoga.(Muslim Sharif)
- Iran Ke Ek Shahar ”Asfahaan” Se 70,000 Yahoodi Dajjal Ka Saath Denge .(Muslim Sharif).
- Kafir Aur Munafiq Bhi Dajjal Ka Sath Denge.(Muslim Sharif).
- Aasman Se Nazil Hone Ke Baad Esa Alaihi-SSalaam Musalmano Ke Saath Mil Kar Dajjal Ke Khilaaf Jihad Karenge.
- Musalmano Ko Fatah Hogi Aur Dajjal Esa Alaihissalam Ke Hathon ”Ladd” ke Maqaam Par Qatal Hoga.(Muslim Sharif).
- Dajjal Se Jung Karne Ke Liye Musalmano Ka Padav Damishaq (Damascus) Ke Qareeb ‘Gotah’ Ka Maqaam Par Hoga.(Abu Dawood).
- Esa (Alaihis Salaam Dajjal Ko Khud Apne Teer Se Qatal Karenge.(Muslim Sharif).
- Dajjal Ke Khilaaf Jihad Me Ek Bhi Yahoodi Zinda Nahi Bachega.(Muslim Sharif).
- Esa Alaihissalam Ke Saath Milkar Dajjal Ke Khilaaf Jihad Karne Wale Musalmano Ke Liye Jannat Ki Basharat Hai.(Nisaai)
-Ummat E Muhammadi Ki Aakhri Jung Dajjal Ke Khilaf Hogi Is Ke Baad Jihaad Khatam Ho Jayega.(Abu Daawood).
- Madinah Munawarah Ke Saath Raaston Par Allah Do Do Nigraan Farishte Muqarar Farmaa Dega Jo Dajjal Ho Madina Munawwarah Me Daakhil Nahi Hone Denge. (Bukhari Sharif).
- Makkah Mukarramah Me Bhi Dajjal Dakhil Nahi Ho Sakega.
(Muslim Sharif).
- Ahle Imaan Ko Allah Fitn-E-Dajjal Se Mehfooz Rakhega.
(Muslim Sharif).
- Allah Ke Fazal Se Anpad Ahle Imaan Bhi Dajjal Ki Paishani Par ‘Kaafir’ Lafz Padh Kar Use Pehchaan Lenge.(Muslim Sharif).
- Jo Log Dajjal Ko Pehchaan Kar Apne Iman Par Qayyim Rahenge
Un Par Dajjal Ka Koi Fareb Nahi Chalega.(Muslim Sharif).
- Dajjal 1 Momin Aadmi Ko Aare Se Cheer Kar Do Tukde Kar Dega aur Zinda Hone Ka Hukum Dega Aur Dubara Qatal Karna Chahega par Allah Paak Us Momin Ko Peetal Ka Dana Dega Aur Dajjal Use Qatal Nahi Kar Payega. (Muslim Sharif).
- Fitna Dajjal Se Bachne Wale Logon Ko Allah Duniya Me Hi Esa Alaihissalam Ki Zubani Buland Darjaat ki Basharat Dega.
(Ibni Majah)
- Fitn-E-Dajjal Se Bachne Ki Dua.
-Surah Kahaf Ki Pehli Dus (10 ayaat ko Yaad Karne wale Shakhs Ko Bhi Allah fitna Dajjal Se Mehfooz Rakhega.(Abu Daood).
(sahih bukhari) Chapter No: 12.
-Alaah Ta'ala Hum Sab Ko Dajjal Ke Fitne Se Achaye!!Ameen. .
No comments :
Post a Comment