Bismillahirrahamanirrahim
AURAT- HAIZ - AUR NIFAAS
> Haiz : Wo fitri khoon jo har maah chand din balooghat ke baad aurat ke rahem ki gehrai se aata hai .Haiza aurat ke liye mamnua kaam.
> Haiza namaz nahi padhegi aur is par khaza bhi nahiSahih bukhari : 321. Sahih muslim, kitaab al-haiz.
> Haiza quran nahi chuyegi(Surah al-waqia : 79)
> Haiza quran ki tilawat nahi kar sakti. Al-batta mushaf chuye baghair aayat ya iska tukda kisi ko batla sakti hai Sanan tirmezi : 131)
>Haiza masjid mei taher nahi sakti, al-batta wahan se guzar sakti hai. Ya koi cheez utha kar la sakti hai.. (Sahih muslim, kitaab al-haiz : 11, 12, 13. Sanan abi dawood : 232. Jamia at-tirmezi : 134.)
> Haiza roza nahi rakhegi. Lekin baad mei khaza karegi (Sahih bukhari : 304. Sahih muslim, kitaab al-haiz).
> Haiz ya nifaas shuru hone se aurat ka roza toot jata hai..(Sahih bukhari. Kitaab as-siyaam, masla : 87.(mohammad iqbal kilani)
>Biwi se haiz ki halat mei hum bistari mana hai, jab tak ke wo haiz se paak hokar ghusul na karle..(Surah al-baqra : 222.)
> Haiz ki halat mei hum bistari karne ki soorat mei bataure kaffara ek dinar ya aadha dinar sadqa karna hai. (Sanan abi dawood : 264.)
>Haiza tawaf nahi karegi.(Sahih bukhari : 305, 316, 318.)
>Al-batta hajj wa umrah ka ahraam baandh sakti hai aur tawaf ke alawa wo saare amal karegi jo ek haji karta hai. Aur paak hone ke baad tawaf karegi..(Sahih bukhari : 294.)
> Haiz ki halat mei ise talaq dena mana hai..(Sahih bukhari, kitaab al-talaq. Sahih muslim, kitaab al-talaq, baab – tehreem talaq al-haiz bighairi razaha.)
Haiz se mutaliq digar ahkaam:
>Haiz shuru hone aur munkhate hone mei kisi umr ki tayeen nahi, balke ye aab wa hawa aur aurat ki sahet ke aitebaar se mukhtalif hosakta hai.
> Ayyam e mahwari(periods) ki bhi tayeen nahi, muddat mei kami wa beshi hosakti hai. Isme aurtoun ki adat ka aitebaar hoga.(Sanan abi dawood : 287)
> Biwi ke saath haiz ki halat mei hum bistari ke alawa wo sab kuch jayez hai. Yani mubashirat(yani jism se jism ka milna), iske saath uthna, baithna, khana, peena jayez hai.
(Sahih bukhari. Sahih muslim, kitaab al-haiz, baab) : mubashira al-haiz fouq al-azaar. (Sanan abi dawood : 258. Sanan tirmezi : 133.)
> Haiza aurat eidgah ja sakti hai, wo musalmano ki duaoun mei shareek hogi al-batta namaz se alag rahegi.(Sahih bukhari : 324.)
> Haiza ke liye ghusul karne ke baad khoon ke mukhaam par khusbo lagana mustahib hai
(Sahih bukhari : 313. Sahih muslim, kitaab al-haiz.)

No comments :
Post a Comment