11/08/2015

Shirk Ke Nuksaan

• Deen-e-Isalm Ki Dawat Ka Sahi Tarika –

Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logon Ko Dawat Di Jaye Wo Kalma-e-Shahadat Hona Chahiye.” Yaani Ye Ke Log Allah Hi Ko Ilaah Waahid Maaney. – (Bukhari:1395, Muslim:19)
Shirk:
Shirk Ka Logvi Maani Hota Hai Sharik Karna, Aur Sharai Aetbar Se Shareek Ka Matlab Hota Hai, Ke Allah Ta’ala Ki “Zaat” Ya Phir “Sifat” Me Kisi Ko Sharik Karna.
Hadees: “Subse Badaa Gunaah Ye Hai Ke Tu Allah Ke Saat Kisi Ko Shareek Karey Halan Ke Uss (Allah) ne Tujhe Paida Kiya.” – (Bukhari 4477, Muslim 86.)
Al-Quraan: Allah Ke Saath Shirk Na Karna. Beshaq Shirk Badaa Bhari Zulm Hai. – (Surah Luqman(31): Ayat-13)

Shirk Ke Nuksaan –

  Shirk Jaise Kabira Gunaah Ke Anzam Ke Barey Me Quraan-e-Kareem Me Farmay Ki:
Al-Quraan: “Jisney Allah Ke Sath Kisi Ko Shareek Tehraya, Allah Ne Uspar Jannat Haraam Kar Diya. Uska Thikhana Jahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na Hoga.” – (Surah Al-Maida(5): Ayat-72)

Hadees: “Jo Koyi Iss Haal Me Marey Ke Wo Allah Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaarta Ho Tou Wo Jahannum Me Dakhil Hoga.” – (Bukhari 4497, Muslim 92).

• Shirk Karne Wale Ko Uske Nek Aamal Faida Nahi Denge –
Nek Aamal (Jaise Sadqa, Khairat, Namaz, Roza,…)

 Aqeede Shirk Ki Moujoodgi Me Bekaar Ho Jate Hai Aur Allah Ke Yaha Qabil Qabool Nahi Rehte. Chunache Allah Ne 18 Jaleel-ul-Qadar Ambiya(Alaihay Salam) Ka Naam Leney Ke Baad Farmaya:
 Al-Quraan: “Aur Agar Unn Logon Ne Shirk Kiya Hota Tou Unkey Bhi Sub Aamal Zaya Ho Jatey”.- (Surah Al-An’am(6): Ayat-88)

No comments :

Post a Comment