21/09/2015

Imaan ke 6 Arkaan

                    IMAAN KA MAANI

 🌴 Imaan ka maani ulema ekraam ne is tarah bayaan kiye hai ke

 🌷 ‘TASDEEQ KARNA’ yaani iqraar karna.

 🔹Jab koi kahe ke mein Allah par imaan laya mathlab ye hoga ke

 🌱main tasdeeq karta hoon ke Allah ke siva koi maboodh nahi hai.

🌹Imaan ke 6 Arkaan ka talluq ghayb ki baatho se hai

📍ALLAH ta’ala,
📍Farishte,
📍Kitaabe,
📍Rasool,
📍Akhirat aur
📍Taqdeer.

🌺Jitney Ambiya bheje gaye un tamaam ne imaniyaat ke mutalliq ek hee dawat di

🍀 lekin digar sharayi talimaath jaise salah aur roza me ehkamaat alag thein.

🌾Lehaza saari ummato ke liye imaniyaath ki tasdeeq Karna hee imaan ka hissa tha

🌼aur hamaare liye bhi wahi hai ke baghayr kisi shak ke imaniyaat ki tasdeeq karna.

🌷Ulema ekraam ke nazdeek imaan ke 3 umoor hai
⚡Dil ka eteqaad (yaani dil se mazboot iqaraar wa
 yaqeen rakhna aur
koi shak mein nahi panda tamaam ehkamaat par ghaybi aur sharayi)

⚡Zabaan ka iqraar (jo imaan dil se hai wahi zabaan par bhi Hona chahiye)

⚡Aza ka amal (yaani dil se jin ehkamaat par iman hai aur zabaan se jin baatho ka iqraar karte hai, amal mein bhi waise hee hona chahiye).

🎀NABI (saw) KO IMAAN WAALA BANNE KA HUKUM🎀


 🌾Surah YUNUS (ayath 104) :

Transalation:


🌴 Aur Mujh ko yahi hukm hua hai ke main imaan lane walo mein se ho.

🌷Is Ayah mein ALLAH ta’ala Nabi SAW ke baare mein farma rahe hai ke

🌹Nabi SAW ko bhi ALLAH ta’ala ne imaan waale banne ka hukm diya hai.

🍀 Har musalmaan ko chahiye ke wo apne imaan ka jayeza le,

🍁Ke Hamara imaan waisa hee hai jaisa Nabi (saw) ka tha ya hamare imaan mein koi kamzori hai to us ki islaah Karle.
------------------------------------------------

1 comment :