21/09/2015

QURBANI KA MAQSAD

** Bismillah hir Rahman nir-Rahim **

➡QURBANI KA MAQSAD⬅

👉Qurbani Ka Maqsad Mahez Allah Ta'ala ki Raza Hasil Karna, Uske Qurb Talash Karna Aur Taqwa Ka Husool Hona Chahiye, Qurbani Me Kisi Maqlooq ki Raza Talash Karna ya Allah Ta'ala Ke Siwa Kisi Aur Ki Khushnudi Chahna Najayez Hain.

1⃣Jaisa Ke Allah Ta'ala Ney Farmaya:-

♦"Yaqeenan Meri Namaz , Meri Qurbani, Mera Jeena aur Mera Marna Khalis Allah ke Liye Hain".

📚(Al-Quran : Surah An'am, Ayat no.162)

👉Aur Ek Dusre Muqam Par Allah Ta'ala Ne Qurbani ka Maqsad Wazeh Bayan Kiya

2⃣Irshade Bari Ta'ala hai:-

◄"Allah ko naa Toh (Tumhari) Qurbaniyo Ka Gosht Pahunchta Hain aur Naa Hi Unke Khoon, Lekin Use Tumhari Taraf Se (Tumhare Dilo ka) Taqwa Pahunchta hai".

📚(Al-Qur'an:Surah Haj, Ayat no.37)

⛔ Note :- Lehaza Qurbani me Riyakari (Dikhawa) ka Amal Dakhil Naa Ho , Jaisa ke Aaj kal log Qurbani Dikhawe Ke liye 2 , 2 ya 4 , 4 Bakre Bataure Competition Qurbani Karte hai,

Aisi Qurbani Inhi Logon Ke Muh Par Maardi Jaati Hain.

🌹Allah Ta'ala se Dua hai Ke Allah Hum Sabko Sirf aur Sirf Allah Taala Ki Raza Ke liye Qurbani Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye Aur Usse Qabul Farmaye

🌹Aameen🌹

🌹Please Share with Our Muslim Brothers and Sisters🌹
-------------------

No comments :

Post a Comment