06/03/2016

Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland

Bismilahirrahamanirrahim      

๐ŸŒดAbdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

๐Ÿ”บQayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada durud bhejte hain

๐Ÿ“šJamia Tirmidhi, Vol 1, 466-Hasan

   ๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚

๐ŸŒดHazrat Hussain ibn Ali radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bakheel wo hai jiske samney mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na bhejey

๐Ÿ“šJamia Tirmidhi, Vol2, #1469 – Sahih

    ๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚

๐ŸŒดHazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland hongey

๐Ÿ“šSunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 ( Sahih)

     ๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚

๐ŸŒดAbdullah bin Abi talha apney walid se rivayat kartey hain ki ek din Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef laaye to aapkey chehre Mubarak par khushi mehsus ho rahi thi to humney Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki aapkey chehrey Mubarak par khushi ki wajah kya hai? to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

" Abhi mere pass Jibril tashreef laaye aur kaha ki ( Allah farmata hai) kya tum is baat se khush nahi ho ki tumhari ummat mein se jo shaksh ek martaba durud bhejega to main us par 10 rahmat nazil karunga aur tumhari ummmat mein se jo shaksh ek martaba Salam bhejega to main us par 10 martaba salamati bhejunga

๐Ÿ“šSunan Nasai, Vol 2, #1298 (Hasan)

๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚๐Ÿ‚

๐ŸŒดAbu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho

๐Ÿ“šSunan Abu Dawud, vol2, 274-Sahih

   ๐Ÿ‘‡DARUD IBRAHIM๐Ÿ‘‡

❣Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid❣

No comments :

Post a Comment