02/03/2016

Magrib ki 2 rakat sunnat

BISMILLAHIRRAHAMANNIRRAHIM
> Abdullah al Maznee r.a. riwayat karte hain Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Maghrib ki (farz) namaz se pahle namaz padho, Aap ne 3 baar farmaya aur teesri baar kaha jiska dil chaahe, ye is liey farmaya ke Aap naapasand karte the ke log isko sunnat e mokkeda banaalei’n.’
Sahih al Bukhari, Abwab al Tahajjud, Hadith- 1183.
Sayyadna Anas r.a. se riwayat hai ke Madeena mein muezzin Maghrib ki azan kahta, ham sab sunnato’n ki taraf daudte aur 2 rakatei’n padhte. Log is kasrat se 2 rakatei’n padhte ke ajnabi ye guman karta ke Maghrib ki jamat ho chuki hai.
Sahih Muslim, Salatul Musafireen, Hadith- 837.
Marsad bin Abdullah r.h. Oqba r.a. ke paas aae aur kaha: ‘Kya ye ajeeb baat nahi ke Abu Tameem r.a. Maghrib ki namaz se pehle 2 rakat padhte hain? Oqba r.a. ne kaha ke ham bhi Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke zamane mein padhte the. Inho’n ne poocha: Ab kyo’n nahi padhte? Kahne lage ke masrufiyat.’
Sahih al Bukhari, kitab al Tahajjud, Hadith- 1184. 

No comments :

Post a Comment