07/05/2016

FRIDAY REMINDERS

          بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم

1⃣Al Quran : Aye Imaan walon ! Jab Jumaa ke din namaz ke liye azaan di jaye to Allah ke zikr ki taraf jaldi se aa jao aur kharid wa farokht (business) chhodh do, tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm (Islamic Knowledge) rakhte ho.

📚Al Quran [Surah Al Jumaa (62), Verse : 9]


2⃣  Rasoollallah Sallallahu Alalhi Wasallam Ne farmaya:-

" Tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki Rooh qabz ki gayee aur isi din Soor phunka jayega

Aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (Juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyun ki tumhara durud Padhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah Sallallahu Alalhi Wasallam Hamara Durud Padhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey❓

 To Aap Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Allah ta'ala ne Anbiya Karam (Prophets) ke Jism (Body) ko Mititi par haram kar diya hai.

📚[Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees: 1035 (Sahih)]


3⃣Hazrat Abu Hurairah radiAllahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:-

"Jab Jumaa ka din aata hai to farishtey Masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain

 sabse pahley aane wala oont (camel)🐪 ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad Aaney wala gaay (cow) 🐄ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey (sheep)🐑 ki Qurbani ka sawab milta hai, uskey baad murgi🐓 (chicken) ka, uskey baad andey (egg) ka

 lekin jab imam (khutba dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.

📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 929]


4⃣Hazrat Salman Farsi radiAllahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:-

 "Jisney Jumaa ke din ghusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein (Saff) na ghusa aur jitni uski kismat mein thi Namaz padhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya, uskey is Jumaa se guzrey (past) Jumaa tak ke tamam gunaah bakhsh diye jayengey.

📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 910]


5⃣Hazrat Ibn Abbas radiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya:-

 ye din (Jumaa) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo Jumaa ke liye aaye to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi hai.

📚[Sunan ibn Majah, Vol 1, Hadees: 1098-Hasan]

6⃣Hazrat Abdullah bin Umar radiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apney minbar par se irshaad farmaya:-

 Logon ko Namaz Jumaa tark karney (Chhodh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah ta'ala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey.

📚[Sunan An Nasai, Vol 1, Hadees: 1373 (Sahih)]


7⃣Hazrat Anas bin Malik radiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:-

 jo shaksh mujh par ek martaba Durood bhejega to Allah Subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darajaat buland hongey.

📚[Sunan An Nasaii, Vol1, Hadees: 1300 (Sahih)]


💥 DURUD-E-IBRAHIM

Allahumma Salli Ala Muhammad Wa Ala Aali Muhammad Kamaa Sallaita Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.

💥Allahumma Baarik Ala Muhammad Wa Ala Aali Muhammad Kamaa Baarakta Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.



ALLAH SE DUA HAI HAMKO SAHI DEEN KO SAMJH KAR USS PAR AMAL KARNE KI TAUFEQ ATA FARMAYE.

 AMEEN YA ALLAH

No comments :

Post a Comment