09/04/2017

Jahannam Ka Bayan #Part.28

         *Jahannam Ka Bayan*

---- Jahannam Aur Farishtey----

➡ Farishton k liye jahannam ka azaab nahi, phir bhi wo Allah k azaab se darte rehte hain..


      *Mafhoom E Quran*👇🏻

"Zameen aur asmaano me saari ki saari jandaar maqlooq aur tamam farishte Allah k huzur sajda rez hain aur wo hargiz sarkashi nahi krte aur apne rabb se jo unke upar hai, darte rehte hain, aur unhe Jo hukm diya Jata hai uske mutabiq kaam krte hain"..
(Surah Nahal_A.49---50)

➡ Allah k Darr aur khauf se farishte larzaan wo tarsaan rehte hain...

Mafhum E Quran👇🏻

"Mushrik kehte hain k, Rahman aulad wala hai, (ghalat hai) uski zaat paak hai, balki wo sab uske baa'izzat bandey hain
"Kisi baat me Allah par pesh'dasti  nahi krte balki uske farmaan par kaar'band hain"..

"Wo unke aage peeche k tamaam umoor se waqif hai, wo (farishte) kisi ki bhi sifarish nahi krte, bajaz unke , Jin se Allah khush ho, wo(farishte) to khud haibat E ilaahi se larzaan wo tarsaan hain"...

(Surah Ambiyaa_A.26---28)

In 👆🏻Ayaat me mushrikeen ka radd hai jo farishton Ko Allah ki betiyan qaraar dete the.. farmaya, wo betiyan nahi Allah k zee'izzat aur farma'bardar bandey hain.
In Ayaat se malum huwa k, ambiyaa aur swaliheen k ilawa farishte bhi sifarish karenge, laikin ye sifarish unhi k haq me hogi Jin k liye Allah pasand farmaye ga. Aur Zahir baat hai k Allah taala sifarish apne naa'farman bandon k liye nahi, sirf gunahgaar mgr farma'bardar bandon yani Ahl E eman  wo Tawheed k liye pasand farmaye ga..

Allah  Subhanahu hame bhi Ahl E eman wo Tawheed walon me Shamil farmaye..
Aameen ya Rabbal aalameen..

✏ To b continue...                      
[12:38 PM, 2/10/2017] +91 94917 89601: Jahannam Ka Bayan

#Part.29

---- Jahannam Aur Ambiyaa E kiraam (AS)----

➡ Hz Muhammad SAW Allah k azaab se bht zyada darte the...

Mafhum E Quran👇🏻

(Aye paighambar) kaho, agr mai apne Rabb ki nafarmani Karun to mujhe ek bade din k azaab ka dar hai us Roz Jo azaab se Bach gaya us par Allah ne bada hi rahem farmaya aur Allah k azaab se Bach Jana bht badi kamiyabi hai..

(Surah An'aam_A.15---16)


➡ Jahannam k upar se guzarte huwe tamaam Ambiyaa E kiraam Allah se 'Rabbi Sallim' (Aye mere Rabb mujhe bacha le) ki request karenge

(Sahih Bukhari)

➡ "Jab kaafir jahannam ka cheeqna chinghaadna sune ge"(Surah Furqaan_A.12)..
#Hz Abdullah bin Umair Raziallahu anhu is Ayat 👆🏻 k bare me farmate hain k,
Jab Jahannam ghusse se cheeqe gi to tamaam muqarrab farishte aur Ambiyaa, hattaa k Ibrahim AS bhi ghutno ke'bal gir padenge aur request karenge,

"Aye mere Rabb! Aaj mai tujh se apni zaat ki salamati k ilawa kuch nahi maangta"

(Tafseer Ibn E kaseer)

➡ Hz AbuZar RA farmate hain. Ek raat Rasool Allah SAW ne qiyam farmaya aur subah tak ek hi Ayat tilawat farmate rahe,

"Aye Allah agr tu unhe azaab kare, to wo tere Ghulam hain (tu kar sakta hai) agr baqsh de to Ghalib hai aur hikmat wala bhi" (tujhe koi puchne wala nahi)...

(Ibn E Maaja)..

✏ To b continue...                      
[12:38 PM, 2/10/2017] +91 94917 89601: Jahannam Ka Bayan

#Part.30 (Last part)

---- Aag k azaab se panah maang'ne ki Dua'ein----

➡ Hz Anas Bin Maalik RA kehte hain, Rasool Allah SAW ne irshad farmaya,

"Jo saqs Allah se teen dafaa jannat maange (uske Haq me) jannat kehti hai, Ya Allah! Isey jannat me dakhil farma, aur Jo saqs teen dafaa Aag se panah maange  (uske Haq me) Aag kehti hai, Ya Allah! Isey Aag se bacha le"..

(Ibn e Maaja)

➡ Aag se panah maang'ne ki Chand quraani dua'ein..👇🏻

#Hz Anas RA farmate hain, Nabi SAW ki aksar Dua ye👇🏻 Hoti...

(Sahi Bukhari  Muslim)

ُ رَبَّنَاۤ  اٰتِنَا فِی الدُّنۡیَا حَسَنَۃً  وَّ فِی الۡاٰخِرَۃِ حَسَنَۃً  وَّ قِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿۲۰۱﴾

Aye hamare Rabb! Hamein duniya me neki de aur aakhirat mein bhi bhalayi ata farma aur hamein azab-e-jahannam se najaat de.

(Surah Baqra_A.201)

رَبَّنَا اصۡرِفۡ عَنَّا عَذَابَ جَہَنَّمَ ٭ۖ اِنَّ عَذَابَہَا کَانَ غَرَامًا ﴿٭ۖ۶۵﴾

اِنَّہَا سَآءَتۡ مُسۡتَقَرًّا وَّ  مُقَامًا ﴿۶۶﴾

Aur jo ye dua karte hain ke aye hamare parwardigar! Hum se dozakh ka azab paray hi paray rakh kiyon ke iss ka azab chimat jane wala hai.

Be-shak wo thairney aur rehne k lehaz se bad-tareen jagah hai...

(Surah Furqaan_A.65--66)

رَبَّنَا مَا خَلَقۡتَ ہٰذَا بَاطِلًا ۚ سُبۡحٰنَکَ فَقِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿۱۹۱﴾

رَبَّنَاۤ اِنَّکَ مَنۡ تُدۡخِلِ النَّارَ فَقَدۡ اَخۡزَیۡتَہٗ ؕ وَ مَا لِلظّٰلِمِیۡنَ مِنۡ اَنۡصَارٍ ﴿۱۹۲﴾

رَبَّنَاۤ اِنَّنَا سَمِعۡنَا مُنَادِیًا یُّنَادِیۡ لِلۡاِیۡمَانِ اَنۡ اٰمِنُوۡا بِرَبِّکُمۡ  فَاٰمَنَّا ٭ۖ رَبَّنَا فَاغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوۡبَنَا وَ کَفِّرۡ عَنَّا سَیِّاٰتِنَا وَ تَوَفَّنَا مَعَ  الۡاَبۡرَارِ ﴿۱۹۳﴾ۚ

رَبَّنَا وَ اٰتِنَا مَا وَعَدۡتَّنَا عَلٰی رُسُلِکَ وَ لَا تُخۡزِنَا یَوۡمَ الۡقِیٰمَۃِ ؕ اِنَّکَ لَا تُخۡلِفُ الۡمِیۡعَادَ ﴿۱۹۴﴾

(Surah Aal e Imraan_A.191---192)

Jazakumullahu Khairan Kaseera brothers & sister..
Is series ko follow kiye aap loag.. Allah Subhanahu aap sab ko iska behtreen ajar de..

#Dua .. Allah Subhanahu ham sab ko kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq de.

Allahummaa Ajirnaa Minan Naar..

--Aameen Ya Rabbul Aalameen--

No comments :

Post a Comment