10/05/2017

Kafir ka daant jahannam me Ahad pahaad k Barabar hoga

Jahannam Ka Bayan
#Part.13

---- Jismon (bodies) Ko bada karne ka azaab ----

Mafhum E Hadees๐Ÿ‘‡๐Ÿป
Hz Abu Hurairah Raziallahu anhu kehte hain, Nabi E Kareem sallal'laahu alaihi wa sallam ne farmaya,.. "Kafir ka daant jahannam me Ahad pahaad k Barabar hoga, aur uski skin ki motaai, teen din ki musafat k Barabar hogi"..
(Sahi Muslim)

๐Ÿ”ฅ Baaz kafiron k kaan aur kandhe k darmiyan 70 yrs ka fasla hoga, aur unke jism me khoon aur peep ki vadiyan beh Rahi hongi..
Hz Mujahid Raziallahu anhu kehte hain, Hz Abdullah bin Abbas Raziallahu anhu ne mujh se daryaft kiya, "Kya tumhe jahannam ki wussat ka ilm hai? Maine arz kiya nahi! Hz Abdullah bin Abbas RA ne farmaya, haan, wallah tum nahi jante, suno, jahannami k kaan se kandhe tak 70 yrs ki musafat ka fasla hoga jis k darmiyan peep aur khoon ki vadiyan beh Rahi hongi,  Maine arz kiya, kya nehrein bahe gein? Hz Abdullah bin Abbas RA ne farmaya, nahi, Balki vadiyan (nehron se zyada wasee) bahe gein".....
(Isey Abu na'eem ne huliya me riwayat kiya hai)

โœ To b continue..

No comments :

Post a Comment