Bismillahirrahamanirrahim
HADEES
Hazrat Ibn abbas razi Allah taala anho hadees bayan kya karte they ke aik aadmi rasool Allah (ﷺ) ke paas aaya aur kehnay laga ke ya rasool Allah (ﷺ) ! mein ne raat ko khawab mein dekha ke baadal ke tukre se ghee aur shehad tapak raha hai, log is ko apne haatheli se letay hain koi ziyada laita hai aur koi kam. aur mein ne dekha ke aasman se zameen taq aik rassi lataki hai, aap (ﷺ) is ko pakar kar oopar charh gaye. phir aap ke baad 1 shakhs ne is ko thaama, woh bhi charh gaya. phir aik aur shakhs ne thaama woh bhi charh gaya. phir aik aur shakhs ne thaama to woh toot gayi, phir jurr gayi aur woh bhi oopar chala gaya.
yeh sun kar syedna abubaker Seddiq razi Allah anho ne kaha ke ya rasool Allah (ﷺ) ! mera baap aap par qurbaan ho mujhe is ki tabeer bayan karne dijiye. aap (ﷺ) ne farmaya ke acha bayan kar. syedna abubaker razi Allah anho ne kaha ke *woh baadal ka tukda to islam hai aur ghee aur shehad se quran ki Halawat aur narmi morad hai aur log jo ziyada aur kam letay hain woh bhi bazon ko bohat quran yaad hai aur bazon ko kam aur woh rassi jo aasman se zameen taq lataki hai woh deen haq hai* jis par aap (ﷺ) . phir Allah aap (ﷺ) ko isi deen par apne paas bulaa le ga aap ke baad aik aur shakhs ( aap sale Allah aleh wasallam ka khalifa ) is ko thaamay ga woh bhi isi terhan charha jaye ga phir aur 1 shakhs thaamay ga aur is ka bhi yahi haal ho ga. phir aik aur shakhs thaamay ga to kuch khlal parre ga lekin woh khlal aakhir mit jaye ga aur woh bhi charh jaye ga. ya rasool Allah ! (ﷺ) mere maa baap aap par qurbaan hon mujh se bayan frmayie ke mein ne theek tabeer bayan ki? aap (ﷺ) ne farmaya ke to ne kuch theek kaha kuch ghalat kaha. syedna abubaker razi Allah anho ne kaha ke Allah ki qisam ya rasool Allah (ﷺ) ! aap bayan kijiyej ke mein ne kya ghalti ki? aap (ﷺ) ne farmaya ke qisam mat kha .
--------------------------
📚 Reference : Sahih Muslim 2269 a
In-book reference : Book 42, Hadith 32
USC-MSA web (English) reference : Book 29, Hadith 5643
No comments :
Post a Comment