Bismillahirrahamanirrahim
Hazrat Soban razi Allah taala anho se rivayet hai ke rasool Allah ﷺ ney irshad farmaya zameen mere liye samaitt di gayi yahan tak ke mein ney zameen ke mashriq o maghrib ko dekh liya aur mujhe dono khazanay surkh aur safaid yani sona aur chandi diye gaye( room ka sikka sonay ka aur Iran ka chandi ka hota tha ) aur mujhe kaha gaya ke tumhari ( ummat ki ) saltanat wohi tak hogi jahan taq tumahray liye zameen samaiti gayi aur mein ney Allah se teen duayen mangeen
1.awwal yeh ke meri ummat par qehat nah aeye ke jis se aksar ummat halaak ho jaye.
2. doum yeh ke meri ummat firqoun aur garohoon mein nah battay aur
3.soum yeh ke ) un ki taaqat aik dosray ke khilaaf istemaal nah ho ( yani baahum kasht o aqtal nah karen )
mujhe irshad howa ke jab mein ( Allah taala ) koi faisla karleta hon to koi usay radd nahi kar sakta mein tumhari ummat par aisa qeht hargiz musallat nah karoon ga jis mein sab ya ( aksar ) halakat ka shikaar ho jayen aur mein tumhari ummat par atraaf o aknaaf arz se tamam dushman ikathay nah honay dun ga yahan taq ke yeh aapas mein nah larhein aur aik dosray ko qatal karen aur jab meri ummat mein talwar chalay gi to qayamat tak ruke gi nahi aur mujhe apni ummat ke mutaliq sab se ziyada khauf gumraah karne walay hukmraanon se hai
aur anqareeb meri ummat ke kuch qabeeley buton ki parastish karne lagen ge aur ( buut parasti mein ) mushrikon se ja milein ge aur qayamat ke qareeb taqreeban jhutay aur Dajjal hon ge un mein se har aik daawa kere ga ke woh nabi hai aur meri ummat mein aik tabqa musalsal haq par qaim rahay ga un ki madad hoti rahay gi ( minjaanib Allah ) ke un ke mukhalif un ka nuqsaan na kar saken ge yahan taq ke qayamat aajaye.
-------------------
Grade : Sahih (Darussalam)
Reference : Sunan Ibn Majah 3952
In-book reference : Book 36, Hadith 27
English translation : Vol. 5, Book 36, Hadith 3952
No comments :
Post a Comment