Bismillahirrahamanirrahim
➡Hadees:-
Hazrath Abu Huraira (RA) kehte hain Huzoor Aqdas (SAW ) be farmaya Bani Israeel mein ye riwaaj tha ke Barhana ghusl* *kiya karte,ek doosre ko dekha jaata ,,chunke Musa( AS) Alahedgi*
*Mein parda poshi ke saat ghsul kiya karte the,Bani Israeel ne kaha Musa (AS) shayed aur hain (yani un main Kuch aib hai) ke hamare samne sharm ke mare ghusl nahain karte .Ek Martaba Musa (AS) ne ghusl ke waste kapdey utaar kar Pat-thar par rakh diye, Pat-thar kapdey lekar bhaaga, Musa(AS) us Pat-thar ke peeche ye kehte huwe daude Pat-thar mere kapdey,mere kapdey,lekin Pat-thar bhaaga huwa seedhe (Aise maqaam par aaya Jahan Bani Israeel jama the)...Un logon ne barhangi ki haalat mein Hazrat Musa (AS) ko dekh liya, kehne laga nahain yaro Musa (AS) mein koi nuqsaan nahain hai.*
*REFERENCE:-⬇*
*➡ Sahih Bukhari (Roman Hadees) kitaabe Ghusul ka Bayan Hadees no 194....*
No comments :
Post a Comment