Bismillahirrahamanirrahim
*Ghulam, Aurat, Bacche, Bimaar aur Musafir ke alawa har musalmaan par jama'at ke saath Juma ki namaz farz hai.*
Surah Juma : 9. Sanan abi dawood : 1067.
*🔸Sakht barish ho rahi ho ya masjid aana mushkil ho tou aisi surat mei namaze juma na ada karne ki rukhsat hai aur iske badle mei namaze zuhar ada karenge.*
Sahih bukhari : 901.
Yahi hukm mazoor ka bhi hai.
*🔶JUMA KI FAZÎLAT ;❗*
*🔸Juma ka din sabse behtareen aur azmat wala din hai, isi din aadam ko paida kiya gaya, isi din jannat mei daqil kiye gaye, isi din jannat se nikale gaye aur isi din qayamat qayam hogi.*
Sahih muslim, kitab al-juma, baab : Fazl al-juma.
*🔸Namaze juma ka ajar paanch (5) darjaat par mushtamil hai, pehle aane wale Allah ki raah mei OONT(CAMEL) dene ka ajar payenge, inke baad aane wale GAAYE(COW), teesre number par EK SEENGH WALE MENDHE, aur chouthe number par MURGHI aur panchwe number par aane wale EK ANDA(egg) Allah ki raah mei dene ka sawab payenge.*
Sahih bukhari : 881.
*🔸Juma ke din kasrat ke saath Dua karni chahiye, kyun ke is din ek ghadi aisi hai jis mei Dua zaroor qubool ki jati hai.*
Sahih bukhari : 935. Sanan abi dawood : 1048. Sanan ibn majja : 1139.
*🔸Wo maqbuliyat ka waqt asar ke baad hai.*
sunan abi dawood : 1048. Basanad sahih.
*🔸Ek juma dusre juma tak ke gunahon ke liye kaffara ban jata hai.*
Sahih bukhari : 883, 910.
*🔶NAMÃZ E JUMA ki AHMIYAT ;❗*
*⭐Agar kisi ne baghèr kisi sharai uzar ke lagãtaar teen(3) juma ki namazen tark kardi tou Allah tala iske Dil par mohar laga deta hai.*
Sahih muslim, kitab al-juma. Sabab abi dawood : 1056.
*⭐Rasool Allah sallallãhu alaihi wasallam ne in gharoun ko jalane ka irada farmaya jin ke Ahel namaze juma ke liye masjid nahi aate.*
Sahih muslim : 254.
*❗YOUM E JUMA aur NAMÃZ E JUMA ke AHKÃM❗*
*🔸Juma ke din bagèr waqt aur kaifiyat ki ta'een kiye huve, infiradi taur par kasrat ke saath Rasool Allah sallallãhu alaihi wasallam par durood bhejna mustahib hai.*
Sanan abi dawood : 1048. Sanan nisai : 1374.
*🔸Namaze juma ke liye miswak karna, ghusul karna, khushbu lagana aur accha libaas pahen kar aana mustahib hai.*
Sahih bukhari : 877, 880, 884, 886, 887, 906.
*🔸Juma ke din SURAH AL-KAHAF ki tilãwat masnoon hai.*
Nisai.
*🔸Juma ke din fajar ki namaz mei surah al-sajda aur surah al-duhar padhni sunnat hai.*
Sahih bukhari : 891.
*🔸Namaze juma ke liye azaan is waqt hogi jab imam membar par baithenge.*
Sahih bukhari : 912.
*🔸Hasbè zaroorat do(2) azaan de sakte hai jaisa ke Usman razi’allahu anhu ne kiya hai aur agar iski zarurat na ho tou sunnatè Rasool sallallãhu alaihi wasallam par amal karte huve ek azãn hi dena behtar hai.*
Sahih bukhari : 912, 916.
*🔸Koi kisi ko iski jagha se utha kar khud na baithe.*
Sahih bukhari : 911.
*🔸Namaze juma ka waqt, zuhar ka waqt yani baad zawal hai.*
Sahih bukhari : 903.
*🔸Namaze juma ke liye pehle aane waloun ka sawab zyãda hai.*
Sahih bukhari : 881.
*🔸Jin afraad par juma ki namaz farz nahi, wo uske badle zuhar ki namaz padhenge.*
*🔸Juma ki namaz padhne waloun se zuhar ki namaz saakhit ho jati hai, phir wo dubara zohar ki namaz nahi padhenge, jaisa ke baaz log ehtiyatan karte hai, aisa karnan ghalat hai.*
*🔸Khutbae juma namaz se qabl hoga.*
Sahih muslim, kitab al-jumma.
*🔸Sunnat ye hai ke khutba muqtasr aur namaz lambi ho.*
Sahih muslim : 47. Sanan abi dawood : 1106, 1107.
*🔸Agar khutba shuru nahi hua hai tou farz se pehle jitni nawafil ada karna chahiye kar sakte hai.*
Sahih muslim, kitab al-jumma : 80.
*🔸Khutba ke liye membar ka istemaal karna sunnat hai.*
Sahih bukhari : 917.
*🔸Khutbae juma mei hasbe hajat barish ki dua maangna aur iske liye haath uthana sunnat hai.*
Sahih bukhari : 932, 933.
*🔸Khutba khade ho kar dena chahiye.*
Sahih bukhari : 920.
*🔸Khutbe ke liye aasa wagaira ka sahara lena sunnat hai.*
Sanan abi dawood : 1104.
*🔸Dono khutbon ke darmiyan baithna masnoon hai.*
Sahih bukhari : 928.
*🔸Khutba sunna wajib hai, is dauraan baat cheet, be-tawajjohi khutba jumma sunne ki fazeelat ko khatm kar deta hai.*
Sahih bukhari : 934.
*🔸Sunnat ye hai ke khateeb hasbe hajat shahadat ki ungli se ishara kare aur hathoun ko bahot zyãda harkat na de.*
Sanan abi dawood : 1096.
*🔸Namaze juma dehaat me bhi ada karni chahiye.*
Sahih bukhari : 896. Sanan abi dawood : 414/1.
*🔸Agar juma ke roz Eid padh jaaye, tou namaze Eid ada karne ke baad juma ki namaz na padhne ki rukhsat hai, magar namaze zuhar zaroor ada karenge. Aur agar juma ki namaz ada karle tou zyada bahetar hai.*
Sanan abi dawood : 1070. Sahih ibn khuzaima : 1464.
*🔸Juma ki farz namaz do(2) raka'at hai.*
Sahih muslim, kitab al-jumma : 61, 62.
*🔸Juma ki farz namaz se pehle koi sunnat e moukkida nahi. Albatta do raka'at tahetul masjid padhi jayegi.*
Sahih bukhari : 930.
*🔸Agar koi shaqs khutbe ke dauraan daqil huva tou ise bhi halki do raka'at tahetul masjid padh kar hee baithna chahiye.*
Sahih bukhari : 930.
*🔸Farz namaz ke baad sunnate moukkida agar masjid mei ada kare tou chaar(4) raka'at, aur agar ghar jakar ada kare tou do(2) raka'at padhni masnoon hai.*
Sahih bukhari : 937. Sanan abi dawood : 1130.
*📔Post from : Tahãrat aur Namãz by Saud Ahmed bin Maqsood Ahmed Al-Madni*
No comments :
Post a Comment