Bismillahirrahamanirrahim
🔺Abu hurairah radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab namaz ke liye azan di jati hai to Shaitan hawa kharij karta hua badi tezi ke saath peeth pher kar bhagta hai taki Azan ki aawaz na sun sakey aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai lekin jaisey hi takbeer shuru hoti hai to phir peeth pher kar bhagta hai jab takbeer bhi khatam ho jati hai shaitan dobara aa jata hai aur namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar, falah baat yaad kar. un baaton ko shaitan yaad dilata hai jiska usey (namazi ko) khayal bhi na tha aur phir us shaksh ko ye bhi yaad nahi rahta ki kitni Rakatein parhi hain -
🔺 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا *جب نماز کے کے لیے اذان دی جاتی ہے تو شیطان پادتا ہوا بڑی تیزی کے ساتھ پیٹھ موڑ کر بھاگتا ہے۔ تاکہ اذان کی آواز نہ سن سکے اور جب اذان ختم ہو جاتی ہے تو پھر واپس آ جاتا ہے ۔ لیکن جوں ہی تکبیر شروع ہوئی وہ پھر پیٹھ موڑ کر بھاگتا ہے ۔ جب تکبیر بھی ختم ہو جاتی ہے تو شیطان دوبارہ آ جاتا ہے اور نمازی کے دل میں وسوسے ڈالتا ہے ۔ کہتا ہے کہ فلاں بات یاد کر فلاں بات یاد کر ۔ ان باتوں کی شیطان یاد دہانی کراتا ہے جن کا اسے خیال بھی نہ تھا اور اس طرح اس شخص کو یہ بھی یاد نہیں رہتا کہ اس نے کتنی رکعتیں پڑھی ہیں ۔
🔺حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ، قَالَ أَخْبَرَنَا مَالِكٌ، عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ " إِذَا نُودِيَ لِلصَّلاَةِ أَدْبَرَ الشَّيْطَانُ وَلَهُ ضُرَاطٌ حَتَّى لاَ يَسْمَعَ التَّأْذِينَ، فَإِذَا قَضَى النِّدَاءَ أَقْبَلَ، حَتَّى إِذَا ثُوِّبَ بِالصَّلاَةِ أَدْبَرَ، حَتَّى إِذَا قَضَى التَّثْوِيبَ أَقْبَلَ حَتَّى يَخْطُرَ بَيْنَ الْمَرْءِ وَنَفْسِهِ، يَقُولُ اذْكُرْ كَذَا، اذْكُرْ كَذَا. لِمَا لَمْ يَكُنْ يَذْكُرُ، حَتَّى يَظَلَّ الرَّجُلُ لاَ يَدْرِي كَمْ صَلَّى ".
📚Reference : Sahih al-Bukhari 608In-book reference : Book 10, Hadith 6USC-MSA web (English) reference
_________________________
🔺Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasul Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaye:Jab Namaz ke liye pukara jata hai (Azaan) to aasman ke darwaze khol diye jate hai ,aur dua kubul ki jaati hai
📚(Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 531)
_________________________
🔺According to Anas (may Allah be pleased with him), the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: "When prayer is called, the gates of heaven are opened and Invocations are granted ".
📚(Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 531)
〰〰〰〰〰〰
*Hadees*
🔺Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Azaan aur takbeer k darmiyaan Allah ta'ala dua radd nahi farmata".
📚(Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 521,
📚Tirmizi Hadees no. 312, ise Imam Tirmizi ne hasan kaha)
〰〰〰〰〰〰〰
No comments :
Post a Comment