Bismillahirrahamanirrahim
Haiz us qhoon ko kehte hain jo balegha aurat ke raham se har maah nikalta hai, iska kam se kam waqt ek din aur ek raat hai aur ziyada se ziyada 15 din hai. A’am taur par 6 ya 7 din aata rehta hai.
Haiz o Nifaas Ke Ayyam Mein Mamno A’amaal
💦حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ أَبِي مَرْيَمَ، قَالَ: أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ، قَالَ: أَخْبَرَنِي زَيْدٌ هُوَ ابْنُ أَسْلَمَ، عَنْ عِيَاضِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، قَالَ: ""خَرَجَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي أَضْحَى أَوْ فِطْرٍ إِلَى الْمُصَلَّى، فَمَرَّ عَلَى النِّسَاءِ، فَقَالَ: يَا مَعْشَرَ النِّسَاءِ، تَصَدَّقْنَ فَإِنِّي أُرِيتُكُنَّ أَكْثَرَ أَهْلِ النَّارِ، فَقُلْنَ: وَبِمَ يَا رَسُولَ اللَّهِ، قَالَ: تُكْثِرْنَ اللَّعْنَ، وَتَكْفُرْنَ الْعَشِيرَ مَا رَأَيْتُ مِنْ نَاقِصَاتِ عَقْلٍ وَدِينٍ أَذْهَبَ لِلُبِّ الرَّجُلِ الْحَازِمِ مِنْ إِحْدَاكُنَّ، قُلْنَ: وَمَا نُقْصَانُ دِينِنَا وَعَقْلِنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ؟ قَالَ: أَلَيْسَ شَهَادَةُ الْمَرْأَةِ مِثْلَ نِصْفِ شَهَادَةِ الرَّجُلِ؟ قُلْنَ: بَلَى، قَالَ: فَذَلِكِ مِنْ نُقْصَانِ عَقْلِهَا، أَلَيْسَ إِذَا حَاضَتْ لَمْ تُصَلِّ وَلَمْ تَصُمْ؟ قُلْنَ: بَلَى، قَالَ: فَذَلِكِ مِنْ نُقْصَانِ دِينِهَا"".
⚡Namaaz Aur Roza Ki Mumaneat:
Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Jab aurat haiz se hoti hai to wo namaz nahi padhti aur na roza rakhti hai.
🌱رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم عید الاضحی یا عیدالفطر میں عیدگاہ تشریف لے گئے۔ وہاں آپ صلی اللہ علیہ وسلم عورتوں کے پاس سے گزرے اور فرمایا اے عورتوں کی جماعت! صدقہ کرو، کیونکہ میں نے جہنم میں زیادہ تم ہی کو دیکھا ہے۔ انہوں نے کہا یا رسول اللہ! ایسا کیوں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تم لعن طعن بہت کرتی ہو اور شوہر کی ناشکری کرتی ہو، باوجود عقل اور دین میں ناقص ہونے کے میں نے تم سے زیادہ کسی کو بھی ایک عقلمند اور تجربہ کار آدمی کو دیوانہ بنا دینے والا نہیں دیکھا۔ عورتوں نے عرض کی کہ ہمارے دین اور ہماری عقل میں نقصان کیا ہے یا رسول اللہ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کیا عورت کی گواہی مرد کی گواہی سے نصف نہیں ہے؟ انہوں نے کہا، جی ہے۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا بس یہی اس کی عقل کا نقصان ہے۔ پھر آپ نے پوچھا کیا ایسا نہیں ہے کہ جب عورت حائضہ ہو تو نہ نماز پڑھ سکتی ہے نہ روزہ رکھ سکتی ہے، عورتوں نے کہا ایسا ہی ہے۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ یہی اس کے دین کا نقصان ہے۔
📚Sahih Bukhari
Kitab :- Heaiz Ke Masail
Hadees No 304.
Ek aurat ne Aisha r.a. se dariyaft kiya: Kya wajah hai ke haaeza aurat roze ki qaza tu deti hai, Namaz ki nahi?
Aisha r.a. ne farmaya: ‘Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke zamana mein hamein haiz aaya karta tha to hamei’n roze ki qaza ka hukam diya jaata tha magar namaz ki qaza ka hukam nahi diya jata tha.’
📜Muslim: al Haiz
Haeza Se Sohbat Karne Ki Mumaniyaath :
Haiz ki haalat main aurat se mujamat karna saqht gunah hai Allah Ta’ala ne Quran e Majeed main farmaya: ‘Pas (ayyam) haiz mein aurato’n se kinara kasha karo (ya’ani sohbat na karo).
Agar koi is gunah ka murtakib hojaae to Nabi e Akram ne farmaya: ‘Jo shaqs bahaalat haiz apni aurat se sohbat kare to ise chaahie ke aadha deenar qhairat kare.
📚Abu Dawood: al Tahaara 264 – 📖Tirmizee: al Tahaara 136) Imam Malik (V1 P171‐172) aur Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha hai.
Deenar sadhe chaar (4½) mashe sone ka hota hai to aadha deenar sawa do mashe (2¼) sone ka hua. Sone ki qeemat sadqa kare ya’anee kisi mustahiq ko de de aur aainda ke liey tauba kare.
Ibne Abbas r.a. farmate hain agar haiz ka rang surqh hai to ek deenar aur agar haiz ka rang peela hai to adha deenar qhairaat kare.
📚Tirmizee: 138
Abu Dawood: an Nikaah 2169)
Albani ne muquf riwayat ko saheeh kaha.
Tawaf Ka’aba Ki Mumaniyaath
Ummul Momineen Aaisha r.a. se riwayat hai ke main Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sath hajj ko gai, raaste me mujhe haiz shuru hogae, Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм mere paas aae aur main ro rahi thee, Aapne Farmaya: ‘Kya tumhe haiz aagaya? Main ne a’arz ki ke haa’n Aap ne farmaya: ye Allah Ta’ala ka amar hai jo is ne Aadam (A) ki betiyo’n ke liey likh diya hai, pas tum har wo kaam karo jo haaji karte hain siwaae Qhanae Ka’aba ke tawaaf ke, aur wo tum (haiz se paak hokar) ghusl karne ke ba’ad karna.’
📚Bukhari: al Umrah 1785
Muslim 1216)
Haiz Aur Nifaas Mein Jaaez Umoor
Haeza Ko Choona Aur Is Ke Saath Khana Jaaez Hai:
Sayyadna Anas r.a. riwayat karte hain ke jab aurat haiz (ya’ani mahwari ka qhoon) se hoti to yahoodi iske saath khate peete nahi the, to Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Haaeza ke sath har kam karo siwae jima’a ke.
📚Muslim: al Haiz 302)
Ya’ani haaeza se khana peena, uthna baithna, milna julna, ise choona aur bos o kinaar (kissing) waghaira sab batei’n jaaez hain siwae mujamea’at
(T: sexual intercourse) ke.
Umme Momineen Aisha r.a. riwayat karti hain ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм mujhe (haalat haiz mein) izar baandhne ka hukam dete, so main izar bandhti. Aap mujhe gale lagate the aur main haiz wali hoti thee.
Bukhari: al Haiz 300
Muslim: al Haiz 293)
Aisha r.a. se riwayat hai ke Nabi e Akram ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne masjid (me apni etekaaf’gah) se mujhe boriya pakdane ka hukam diya. Main ne kaha ‘Mai’n Haaeza hu’n.
Aap ne farmaya: Tumhare Haiz tumhare haath me nahi hai.’
📚Muslim: al Haiz, 298)
Aisha r.a. se riwayat hai: ‘Nabi e Rahmat ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм meri god ko takiya banakar Quran e Hakeem ki tilaawat karte the hala’nke main haaeza hoti thee.’
📚Bukhari: al Haiz, 297
Muslim: al Haiz 301
Haaeza Ka Quran Padhna Aur Azkaar Ka Karna:??
Haalat janaabat wo haiz main Quran e Hakeem ki tilaawat ke haraam hone ke bare me koi saheeh hadees nahi hai.
Azkaar ki baabat Imaam Navawi farmate hain: ‘Haaeza ke liey Tasbeeh o Tamheed takbeer aur deegar dua’ae’n aur azkar bila ijma’a jaaez hain.’ (Al Majmua’a)
Iski daleel Aisha r.a. ki hadees hai.
Aap farmati hain: Main hajj ke dauran me haaeza hogai to Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Baitullah ke tawaf ke alawa har wo kaam karo jo haaji karta hai.’
Bukhari: al Haiz 294
Muslim: al Haj, 1211)
🖋Is hadees se ye bhi waazeh hua ke haaez Tawaaf e Ka’aba ke alaawa Hajj ke baaqi tamaam a’amaal kar sakti hai.
Umme A’atiya r.a. farmati hain ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne haiz wali aurato’n ko bhi eid ke roz eid’gaah jane ka hukam diya take wo logo’n ki takbeero’n ke saath takbeerei’n kahei’n aur in ki dua ke saath dua karei’n leking namaz na padhei’n.
📂Bukhari: al Edain 981 – Muslim 890)
Ummul Momineen Aisha r.a. farmati hain ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм har haal me Allah ka Zikar karte the. (Muslim al Haiz 373)
In ahadees se saabit hua ke haaeza aur janbi zikar azkaar karsakte hain.
No comments :
Post a Comment