Bismillahirrahamanirrahim
___________________
*Hadees*
_🌾🍂Rasoolullaah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:"Apne Bhai Ke Saamne Tumhara *Muskurana* Tumhare Liye Sadqa Hai, *Bhalai* ka Hukum Dena Aur *Burai* Se Rokna Sadqa Hai, *Bhatak Jane Wali Jagah Mein Kisi Aadmi Ki Tumhara *Raasta Dekhana* Tumhare Liye Sadqa Hai, Na Beena Aur *Kam Dekhne Wale* Aadmi Ko Raasta Dekhana Tumhare Liye Sadqa Hai, *Patthar,Kaanta aur Haddi* Ko Raaste Se Hatana Tumhare Liye Sadqa Hai, Apnay *Daul Se* Apnay Bhai Ke Daul Mein Tumhara *Pani Daalna* Tumhare Liye Sadqa Hai_
*📚Jame Tirmazi Hadees # 1956*
_______________
_🌾🍂Nabi-e-Kareem S.A.W Ne Farmaya:" Rozana Insaan Ke Har Jood Par Sadqa Laazim Hai Aur Agar Koi Shaks Kisi ki Sawari Mein Madad Kare Ke Us Ko Sahara De Kar Uski *Sawari Par Sawar Kar De* Ya Uska *Samaam Us Par Utha Kar De* To Yeh Bhi Sadqa Hai. *Achcha Aur Paak Lafz Bhi Zubaan Se Nikaalna* Sadqa Hai, Har *Qadam Jo Namaz Ke Liye Uthta Hai* Woh Bhi Sadqa Hai Aur Kisi Musafir ko Raasta Bata Dena Bhi Sadqa Hai_
*📚Sahi Bukhari Hadees # 2891*
_________________
_🌾🍂Rasoolullaah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:" *Logon Ke Darmiyaan Insaaf karna Bhi Sadqa Hai*_
*📚Sahih Bukhari Hadees # 2707*
_________________
_🌾🍃Rasoolullaah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya *Logon Ko Apne Shar Se Mehfooz Kar De Ke Yeh Bhi Ek Sadqa Hai* Jise Tum Khud Apne Upar Karoge_
*📚Sahi Bukhari Hadees # 2518*
___________________
_🌾🍃Rasoolullaah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:" *Phir Achchi Baat Par Amal Kare Aur Buri Baton Se Baaz Rahe* Uska Yehi Sadqa Hai_
*📚Sahi Bukhari Hadees # 1445*
________________
_🌾🍃Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:" Jab Aadmi Sawab Ki Niyat Se *Apne Ehlo Ayaal ( Ghar Wale ) Kharch Kare Pas Woh Bhi Uske Liye Sadqa*_
📚Sahi Bukhari Hadees # 55
__________________
_🌾🍃Rasoolullaah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Koi Bhi Musalmaan Jo Ek *Darakht Ka Pauda Lagaey Ya Kheti Mein Beej Boey , Phir Us Mein Se Parinday Ya Insaan Ya Jaanwar Jo Bhi Khatay Hain Woh Us Ki Taraf Se Sadqa*_
*📚Sahih Bukhari Hadees # 2320*
No comments :
Post a Comment