06/06/2017

Sehri Aur Iftari K Masail

بسم  الله  الرحمن  الرحیم

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

📚KITAB AS SEYAAM

🌸 Sehri khane me barkat hai.

🌸 Neend se uth jane par jan bujh kar sehri tark nahi karni chahye.

🍡Hadith : Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se rewayat hai Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : Sehri khao kiun k Sehri khane me barkat hai. ( Bukhari o Muslim ).

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

🌸 Ramadan me fajr ki azan se pehle Sehri k liye azan dena sunnat hai.

🍡Hadith : Hazrat Ayesha RadiAllahu Anha se rewayat hai Hazrat Bilal RadiAllahu Anhu raat ko ( Sehri se pehle ) azan de diya karte the , chunancha Rasool Allah Sallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : Us waqt tk kaho piyo jab tak Ibn Umme Maktoom RadiAllahu Anhu azan na deden islye k Ibn Umme Maktoom RadiAllahu Anhu us waqt tak azan nahi dete jab tak fajr na hojaye. ( Bukhari o Muslim ).

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

🌸 Sehri khate azan hojaye to khana fouran tark karne ki bajaye jaldi jaldi kha lena chahye.

🍡hadith : Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rewayat hai Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya " jab koi admi azan sune aur pine ka bartan usk hath me ho to use fouran na rakh de balk apni zarurat puri karle.
( Abu dawood )

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

🌸 Roza iftar karne k liye guroob e aftab shart hai.

🍡Hadith : Hazrat Umar RadiAllahu Anhu kehte hain Rasool Allah Sallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jab raat ajaye , din chala jaye aur suraj guroob hojaye to rozadar roza khol le." ( Bukhari o Muslim ).

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

🌸 Taaza khajoor , khusk khajoor ( chuhara ) ya pani se roza iftar karna masnoon hai.

🍡 Hadith : Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se rewayat hai Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz ( maghrib ) se pehle taaza khajooron se roza iftar farmate agr taaza khajoor na hoti to khusk khajooron ( chuharon ) se iftar farmate agr khusk khajooren na hoti to chund ghont pani se he iftar farma lete. (Abu dawood , Tirmidi ).

📌Note : Namak se iftar Karna sunnat se sabit nahi.

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

🌸 Roza iftar karte waqt niche wali dua mangna masnoon hai.

🍡Hadith : Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se rewayat hai Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab roza iftar farmate to ye dua padhte.
ذَهَبَ الظَّمَأُ، وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ, وَثَبَتَ الْأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
( Piyas khatam hui , ragain ( vains ) tarr hogayin aur roze ka sawab In Shaa Allah pakka hogaya ) .
( Abu dawood )

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

🌸 Roza iftar karwane wale ka sawab roza iftar karne wale k barabar hai.

🍡Hadith : Hazrat Zaid Bin Khalid Juhni RadiAllahu Anhu kehte hain Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya " jisne rozadar ko roza iftar karaya use bhi utna he ajar milega jitna ajar rozedar k liye hoga aur rozedar k ajar se koi chiz kum na hogi .( Tirmidi )

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

🌸 Roza iftar karwane wale ko darj zeel dua deni chahye.

🍡Hadith : Anas RadiAllahu Anhu kehte hain Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab kisi k yanha roza iftar farmate to ye dua dete
«افطر عندکم الصائمون و اکل طعامکم الابرار و تنزلت علیکم الملائکه»
( Rozedar tumhare yanha iftar karte rahen. Neek log tumhara khana khate rahen aur farishte tumhare yanha ( Rahmat lekar ) nazil hote rahen. ( Musnad Ahmed )

🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸🍡🌸

No comments :

Post a Comment