Bismillahirrahamanirrahim
Al Quran: Dekho ye Quran ek naseehat hai, isliye jo chahe isko yaad rakhe, Qabil e Adab warqo mein likha hua jo buland muqam par aur paak hain, un likhne walon ki hatho mein jo buzurg aur neikokar hain (Jo Kiramin barara hain)
#Surah Abasa #(80), 11-16
Hadith: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne mein mahir ho wo shakhs aise likhne wale (farishto) ke saath hoga jo buzurg aur nekokar (Kiramin-Bararah)hain aur jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai to usko duguna ajar milega
----------------------------
Narrated 'Aishah that the Messenger of Allah (ﷺ) said: The one who recites the Qur'an and he is proficient with it, then he is with the noble and blessed Angels (As-Safaratil-Kiramil-Bararah), and the one who recites it - Hisham said: And it is hard for him Shu'bah said: And it is difficult for him, - then he gets two rewards.
#Jamia Tirmizi, Jild 2, 813-Sahih#
------------------------
No comments :
Post a Comment