11/09/2017

Bina Hisab Kitab Jannat Me Jane Wale Darwaza Koun Hai

                       ﷽

عن ابي هريرة رضي الله عنه في حديث الشقاعة .....فَيُقَالُ يَا مُحَمَّدُ أَدْخِلِ الْجَنَّةَ مِنْ أُمَّتِكَ مَنْ لاَ حِسَابَ عَلَيْهِ مِنَ الْبَابِ الأَيْمَنِ مِنْ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ وَهُمْ شُرَكَاءُ النَّاسِ فِيمَا سِوَى ذَلِكَ مِنَ الأَبْوَابِ وَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ إِنَّ مَا بَيْنَ الْمِصْرَاعَيْنِ مِنْ مَصَارِيعِ الْجَنَّةِ لَكَمَا بَيْنَ مَكَّةَ وَهَجَرٍ أَوْ كَمَا بَيْنَ مَكَّةَ وَبُصْرَى ‏"‏ ‏.

Hazrat abu hurairah raziyallahu anhu se hadise shafa'at me riwayat hai k (rasulullah sallallahu alaihi w sallam ki shifa'at k baad ) Allah ta'aala irshad farmayen ge, "aye Muhammad (sallallahu alaihi w sallam)! Apni ummat k unlogon ko baabe ayman se jannat me dakhil karo jinper koi hisaab kitaab nahi hai aur wo jannat k dusre darwazon me SE dakhil hone wale logon k saath bhi sharik hai.. Qasa hai us zaat ki jis k haath me Muhammad ( sallallahu alaihi w sallam ) ki jaan hai jannat ki chaukhat k darmiyaan itna fasla hai jitna Makkah aur hajar( behrain k ek shaher ka naam) k darmiyaan hai .... Ya jitna Makkah aur basrah( shaam k ek shaher ka naam) k darmiyaan hai..

📚Reference : Sahih Muslim 194 aIn-book reference : Book 1, Hadith 388USC-MSA web (English) reference : Book 1, Hadith 378  

No comments :

Post a Comment