Bismillahirrahamanirrahim
*Sawal: wo kon sa amal hai jo Allah Subhanahu taala ke nazdeek Jihad se bhi ziyada pasandeeda hai?*
A: Ramadan ke roze
B: Shabaan ke roze
C: Peer or Jumeraat ke roze
D: Aashure ka din
E: Dhul- Hijjah ke dus din mein neik amal karna
F: Safa aur marwa per saee karna
G: Tawaf karne ke waqt
H: In mein se koi nahi
*I: Rabbi Zidni Ilma?*
*Sahi Jawab E✅*
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ مُسْلِمٍ الْبَطِينِ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَا مِنْ أَيَّامٍ الْعَمَلُ الصَّالِحُ فِيهَا أَحَبُّ إِلَى اللَّهِ مِنْ هَذِهِ الْأَيَّامِ يَعْنِي الْعَشْرَ ، قَالُوا: يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَلَا الْجِهَادُ فِي سَبِيلِ اللَّهِ، قَالَ: وَلَا الْجِهَادُ فِي سَبِيلِ اللَّهِ، إِلَّا رَجُلٌ خَرَجَ بِنَفْسِهِ وَمَالِهِ فَلَمْ يَرْجِعْ مِنْ ذَلِكَ بِشَيْءٍ .
------------------------------------------------------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya un dinon yani *Dhul-Hijjah ke dus (10) dinon se badh kar koi bhi din aisa nahi ke jis mein naik amal karna Allah subhanahu taala ke nazdeek un dinon ke naik amal se ziyada pasandeeda ho*, logon ne pucha Allah ke Rasool (ﷺ)! Allah ke rastay mein Jihad karna bhi nahi? Aap (ﷺ) ne farmaya: Allah subhanahu taala ke rastay mein Jihad karna bhi itna pasand nahi, magar jo shakhs apni jaan aur maal le kar niklay, aur phir lout kar nahi aaye.
-------------------------------------------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ان دنوں یعنی ذی الحجہ کے دس دنوں سے بڑھ کر کوئی بھی دن ایسا نہیں کہ جس میں نیک عمل کرنا اللہ تعالیٰ کے نزدیک ان دنوں کے نیک عمل سے زیادہ پسندیدہ ہو ، لوگوں نے پوچھا: اللہ کے رسول! اللہ کے راستے میں جہاد کرنا بھی نہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ کے راستے میں جہاد کرنا بھی اتنا پسند نہیں، مگر جو شخص اپنی جان اور مال لے کر نکلے، اور پھر لوٹ کر نہ آئے ۔
------------------------------------------
It was narrated from Ibn ‘Abbas that the Messenger of Allah (ﷺ) said:”There are no days during which righteous deeds are more beloved to Allah than these days,” meaning the (first) ten days of Dhul- Hijjah. They said: “O Messenger of Allah! Not even Jihad in the cause of Allah?” He said: “Not even Jihad in the cause of Allah, unless a man goes out with himself and his wealth and does not bring anything back.”
-------------------------------------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1727
No comments :
Post a Comment