18/09/2017

Us Shakhs Wo Sab Gunaho Se Paak Saaf Hokar Nikal Jata Hai.

Bismillahirrahamanirrahim

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya: Jab koi muslim ya momeen banda wuzu karta hai aur munh dhota hai to to paani ke saath ya aakhri qatre ke saath uske munh se wo sab (sagirah) gunah nikal jate hain jo usne aankho se kiye, phir jab haath dhota hai to uske haatho mein se har ek gunah jo haath se kiye they wo pani ke saath ya aakhri qatre ke saath nikal jate hain , phir jab paanw dhota hai to uske paanwo mein se har ek gunah jo paanw se chalkar kiye they wo pani ke saath ya aakhri qatre ke saath nikal jate hain yahan tak ki wo sab gunaho se paak saaf hokar nikal jata hai.

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ﷺ قَال: إِذَا تَوَضَّأَ الْعَبْدُ الْمُسْلِمُ أَوْ الْمُؤْمِنُ فَغَسَلَ وَجْهَهُ خَرَجَ مِنْ وَجْهِهِ كُلُّ خَطِيئَةٍ نَظَرَ إِلَيْهَا بِعَيْنَيْهِ مَعَ الْمَاءِ أَوْ مَعَ آخِرِ قَطْرِ الْمَاءِ فَإِذَا غَسَلَ يَدَيْهِ خَرَجَ مِنْ يَدَيْهِ كُلُّ خَطِيئَةٍ كَانَ بَطَشَتْهَا يَدَاهُ مَعَ الْمَاءِ أَوْ مَعَ آخِرِ قَطْرِ الْمَاءِ فَإِذَا غَسَلَ رِجْلَيْهِ خَرَجَتْ كُلُّ خَطِيئَةٍ مَشَتْهَا رِجْلَاهُ مَعَ الْمَاءِ أَوْ مَعَ آخِرِ قَطْرِ الْمَاءِ حَتَّى يَخْرُجَ نَقِيًّا مِنْ الذُّنُوبِ
------------------------------------
Abu Huraira reported: The Messenger of Allah, ﷺ said:
*“When a Muslim or a believer washes his face in ablution, then every sin which he committed with his eyes will be washed away with the last drop of water. When he washes his hands, then every sin which he committed with his hands will be washed away with the last drop of water. When he washes his feet, then every sin which he committed with his feet will be washed away with the last drop of water until he emerges purified from sin.”

📚Sahih Muslim, 244

No comments :

Post a Comment