14/09/2017

Uske Wo Gunha Maaf Ker Diye Jaate Hai

Bismillahirrahamanirrahim

Hazrat Usman bin Afwan Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam ne Jo Muslman Wudhu keren aur achi tarha wudhu keren phir Namaz padhe to Uske wo gunha maaf Ker diye jaate hai Jo us Namaz aur agli Namaz ke darmiyan honge.

*(Sahih Muslim hadees #540)*
---------------------------------------------------
Hazrat Usman Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam ne farmaye Koi Muslman Nahi jiski Farz Namaz Ka Waqt ho Jaye phir wo Uske liye ache tarha wudhu keren Achi tarha khushu se usse adaa keren aur ehsan andaze se ruku keren magar wo Namaz Uske pichle Gunaho Ka kaffara hogi jabtak wo kabirah gunah Ka irtekab Nahi kerta aur ye baat hamesha ke liye ki

*(Sahih Muslim hadees#543)*

No comments :

Post a Comment