_Bismillah Hir-Rehman Nir-Reheem_
_1⃣ "Jisne Rasool Allah ( ﷺ ) ki Ita'at ki usne ( Dar Asal ) ALLAH ki Ita'at ki''_
_*📖 Surah Al Nisa Aayat : 80*_
_2⃣"Aur ALLAH aur uske Rasool ( Mohammad ﷺ) ki Farmabardari karo taki tum pe Rahem kiya jaye''_
_*📖Surah Aal e Imran Aayat : 132*_
_3⃣''Aur tumhe jo kuch Rasool ( Mohammad ﷺ ) de use le lo aur jis se mana kar de us se ruk jao''_
_*📖 Surah Al Hashr Aayat : 7*_
_4⃣''Keh dijiye agar tum ALLAH se Mohabbat karte ho to meri ( Mohammad Sallallahu Alayhi Wasallm ki ) Ittiba karo, khud ALLAH tumse Mohabbat karega aur tumhare Gunah bakhsh dega''_
_*📖 Surah Aal e Imran Aayat : 31*_
_5⃣''Ae Eeman walo tum ALLAH aur uske rasool ( ﷺ ) ki Pairawi karo''_
_*📖 Surah Anfal Aayat :24*_
_6⃣''Aur Qasam hai tere Rab ki ye Eeman wale nahi ho sakte jab tak ki tamam aapas ke Ikhtilaf mei aapko ( Mohammad S.A.W. ko ) Hakim na maan le, fir jo faisla ( Quran aur Hadees k Mutabiq ) aap in mei karde inse apne dil mei kisi tarah ki tangi aur na khushi na paye aur Farmabardari ke sath Qubool kar le''_
_*📖 Surah Al Nisa Aayat : 65*_
_7⃣''Suno jo log Rasool Allah ( ﷺ ) ki Mukhalifat karte hain inhe darte rehna b chahye ki kahi in par koi zabardast Aafat na aa pade ya inhe Dardnak Azaab na pahunche''_
_*📖 Surah Noor Aayat : 63*_
_8⃣''Ae Eeman walo ALLAH ki Ita'at karo aur uske Rasool ( ﷺ ) ka kaha mano ( Quran aur Sahi Ahadees k zariye ) aur apne Aamal barbad mat karo ( Quran aur Sahi Ahadees k Khilaf Amal kar ke )''_
_*📖Surah Mohammad Aayat : 33*_
_9⃣''Aur kisi Momin Mard Aur Aurat ko ALLAH aur uske Rasool ( Mohammad ( ﷺ ) ke faisle ( Quran aur Sahih Ahadees ) ke baad apni kisi baat ka koi ikhtiyar baqi nahi reh jata, ALLAH aur uske Rasool ( Mohammad ﷺ ) ki jo bhi na farmani karega ( Quran aur Sahih Ahadees par Amal na kar ke ) wo khuli Gumrahi mei padega''_
_*📖Sure Aahzab Aayat : 36*_
No comments :
Post a Comment