08/11/2017

Kabeera (badey)Gunah kya Hai


Bismillahirrahamanirrahim

*Mafhoom e Hadith*

✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se badey (kabira) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
1. *ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, 2. Waaldein ki nafarmani karna,*
3. *Kisi ki (nahaq) jaan lena*
4. *aur Jhooti gawahi dena.*
📚Sahih Bukhari, Vol 4,2653

✦ Abdulllah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi *apney waldein par laanat bhejey* (logo ne pucha) ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam koi shakhsh apney hi waldein par laanat kaisey bhejega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya *jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uskey walid aur maa ko bura kahega (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)*
📚Sahih Bukhari,Vol 7, 5973

✦ Abdullah bin Mas’ud Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine pucha ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya *ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna* halanki usi ne tumhe paida kiya ha.,
maine pucha iske baad ? ,
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki *Apni Aulad ko is khauff se maar dena* ki wo tumhare saath tumhare khane mein sharik hogi.
maine pucha uske baad ?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki *apne padosi ki biwi se zina karna.*
📚Sahih Bukhari, Vol8, 6811

🎗🎗🎗🎗🎗🎗🎗🎗🎗

No comments :

Post a Comment