Bismillahirrahamanirrahim
Mafhoom E Hadeet
_ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya :-_
_Jis ne Namaz mein Surah Fatiha nahi padhi to uski Namaz poori nahi hui aur uski Namaz Naqis ( Adhuri ) hai, Ye Jumla Aap Sallallahu Alayhi Wasallam ne Teen ( 3 ) bar farmaya_
_*Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se logo ne poochha ki jab hum Imam ke peechhe ho to kya kare ?*_
_Unhone kaha ki us waqt tum Aahista ( Yani G mai ) se Surah Fatiha padh liya karo, kyun ki maine Rasool-Allah Sallallahu Alayhi Wasallam ko ye farmate hue suna hai ki_
_Allah Subhanahu farmata hai Namaz mere aur mere Bundo ke darmiyan Aadhi Aadhi Taqseem ho chuki hai aur mera Bunda jo Sawal karta hai wo poora kiya jata hai jab koi Shakhs Al-hamdu Lillahi Rabb il-'Aalamin kehta hai to Allah Subhanahu farmata hai ki mere Bunde ne meri tarif ki_
_Aur jab Ar-Rahman Ar-Raheem kehta hai to Allah Subhanahu farmata hai mere Bunde ne meri Tausif ki_
_* Aur jab Bunda Maliki Yawmid-Deen kehta hai to Allah Subhanahu farmata hai mere Bunde ne meri buzurgi bayan ki, aur ye bhi farmata hai ki mere Bunde ne apne sab kam mere Supurd kar diye*_
_Aur Namazi jab Iyya-ka Na'budu Wa Iyya-ka Nasta'in kehta hai to Allah Subhanahu farmata hai ye mere aur mere Bunde ke darmiyan ka Mamla hai mera Bunda jo Sawal karega wo usko milega_
_ Phir jab Namazi apni Namaz mein Ihdinassiratal Mustaqeem , Sirat Al Lazina An'Amta 'Alay him , Ghayr il-Maghdubi 'Alay-him Wa La-d-Dalleen kehta hai to Allah Subhanahu farmata hai ye sab mere is Bunde ke liye hai, jo wo Talab karega usko diya jayega_
_*📚Sahih Muslim, Jild 2 : 878*_
No comments :
Post a Comment