28/01/2018

Azan ke Baad Ki Dua

Bismillahirrahamanirrahim

💠Azan ke baad jo ye dua padhega usko Qayamat ke din Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki shafaat milegi

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًامَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْت

💠Hadith:Jabir bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo shaksh Adhan sunkar ye kahe

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًامَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْت

Allahumma Rabba hadhihi-d-dawatit-tammaa was-salatil qaimah, Aati Muhammadan Al-wasilata wal-fazilah, wabaathhu maqaman mahmudan-il-ladhi waadtah. Qayamat ke din us ko Rasoollallah sallallahu Alaihi wasallam ki Shafa At milegi

‼️Tarjumh: Eh mere Allah jo is sari pukar ka RAB hai, aur Qayam rahney wali namaz ka bhi RAB hai, Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Qayamat ke din waseela ata farma, aur Maqam e Mahmood par unka qayam farma, jiska tuney unsey wada kiya hai)

*📗Reference:Sahih Bukhari, Vol 1, 614*

No comments :

Post a Comment