26/01/2018

SHAK KI WAJAH SE WUZU NAHI TOOTTA.

Bismillahirrahamanirrahim

Nabi (ﷺ) Ne Farmaaya Ke : "(Namaaz Se) Na Phirey Ya Na Mudey (Ya'ni Namaaz Chhord Kar Na Jaaye), Jab Tak Aawaaz Na Suney Ya Boo (smell) Na Paaye.”

TASHREEH: Agar Namaaz Padhtey Huye Hawa Khaarij Hone Ka Shak Ho Tou Mehaz Shak Se Wuzu Nahi Toot Ta. Jab Tak Ke Hawaa Khaarij Hone Ki Aawaaz Ya Us Ki Bad Boo Maloom Na Karley. Yeh Hukm Aam Hai Khwaah Namaaz Ke Andar Ho Ya Namaaz Ke Baahar.

Imaam Nawawi (Rahimahullaah) Ne Kaha Is Hadees Se Bada Qaaidah Kuliya Nikalta Hai Ke Koi Yaqeeni Kaam Shak Ki Wajah Se Khatam Na Hoga.

Maslan Har Farsh Ya Har Jagah Ya Har Kapda Jo Paak Saaf Aur Suthra Ho Ab Agar Koi Us Ki Paaki Mein Shak Karey Tou Woh Shak Ghalat Hoga.

Aur Waisey Bhi Musalmaan Ko Shak Ke Peechey Nahi Padhna Chaahiye Balke Shak Se Bachna Chaahiye.

[Saheeh Al-Bukhaari, Hadees : 137]

No comments :

Post a Comment