*🌕🌖🌗🌘🌑🌒🌓🌔*
Bismillahirrahamanirrahim
🌕 *Sooraj aur chaand dono Allah ki nishanyan hai aur kisi ki mout o hayaat se un mein grahan nahi lagta*.
🌕 *Jab tum grahan laga huwa dekho to "Allah se dua karo" *takbeer kaho* aur *namaz parho* aur *Sadqa karo*
___________________
*Mafhoom é Hådith*
🌑 *Rasool Allah sale Allah aleh wasallam ke zamana mein Sooraj girhan huwa to aap ny logon ko namaz parhai. pehlay aap sale Allah aleh wasallam kharray hue to barri der taq kharray rahay, qiyam ke baad ruku kya aur ruku mein bohat der taq rahay. phir ruku se uthnay ke baad der taq dobarah kharray rahay lekin aap sale Allah aleh wasallam ke pehlay qiyam se kuch kam, phir ruku kya to barri der taq ruku mein rahay lekin pehlay se mukhtasir, phir sajda mein gaye aur der taq sajda ki haalat mein rahay. doosri rak-at mein bhi aap sale Allah aleh wasallam ny isi terhan kya, jab aap sale Allah aleh wasallam farigh hue to girhan khil chuka tha. is ke baad aap sale Allah aleh wasallam ny khutba diya Allah taala ki hamd o Sana ke baad farmaya ke Sooraj aur chaand dono Allah ki nishanain hain aur kisi ki mout o hayaat se un mein girhan nahi lagta. jab tum girhan laga huwa dekho to Allah se dua karo taqbeer kaho aur namaz parho aur sadqa karo. phir aap sale Allah aleh wasallam ny farmaya aye Mohammad ki ummat ke logo! dekho is baat par Allah taala se ziyada ghairat aur kisi ko nahi aati ke is ka koi bandah ya bandi zina kere, ae ummat Mohammad ! wallah jo kuch mein jaanta hon agar tumhe bhi maloom ho jaye to tum hanstay kam aur rotay ziyada*
🌓حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْلَمَةَ، عَنْ مَالِكٍ، عَنْ هِشَامِ بْنِ عُرْوَةَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّهَا قَالَتْ: ""خَسَفَتِ الشَّمْسُ فِي عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَصَلَّى رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِالنَّاسِ، فَقَامَ فَأَطَالَ الْقِيَامَ، ثُمَّ رَكَعَ فَأَطَالَ الرُّكُوعَ، ثُمَّ قَامَ فَأَطَالَ الْقِيَامَ وَهُوَ دُونَ الْقِيَامِ الْأَوَّلِ، ثُمَّ رَكَعَ فَأَطَالَ الرُّكُوعَ وَهُوَ دُونَ الرُّكُوعِ الْأَوَّلِ، ثُمَّ سَجَدَ فَأَطَالَ السُّجُودَ، ثُمَّ فَعَلَ فِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ مِثْلَ مَا فَعَلَ فِي الْأُولَى، ثُمَّ انْصَرَفَ وَقَدِ انْجَلَتِ الشَّمْسُ، فَخَطَبَ النَّاسَ فَحَمِدَ اللَّهَ وَأَثْنَى عَلَيْهِ، ثُمَّ قَالَ: إِنَّ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ آيَتَانِ مِنْ آيَاتِ اللَّهِ لَا يَخْسِفَانِ لِمَوْتِ أَحَدٍ وَلَا لِحَيَاتِهِ، فَإِذَا رَأَيْتُمْ ذَلِكَ فَادْعُوا اللَّهَ وَكَبِّرُوا وَصَلُّوا وَتَصَدَّقُوا، ثُمَّ قَالَ: يَا أُمَّةَ مُحَمَّدٍ وَاللَّهِ مَا مِنْ أَحَدٍ أَغْيَرُ مِنَ اللَّهِ أَنْ يَزْنِيَ عَبْدُهُ أَوْ تَزْنِيَ أَمَتُهُ، يَا أُمَّةَ مُحَمَّدٍ وَاللَّهِ لَوْ تَعْلَمُونَ مَا أَعْلَمُ لَضَحِكْتُمْ قَلِيلًا وَلبَكَيْتُمْ كَثِيرًا"".
🌕Narrated `Aisha: In the lifetime of Allah's Apostle (p.b.u.h) the sun eclipsed, so he led the people in prayer, and stood up and performed a long Qiyam, then bowed for a long while. He stood up again and performed a long Qiyam but this time the period of standing was shorter than the first. He bowed again for a long time but shorter than the first one, then he prostrated and prolonged the prostration. He did the same in the second rak`a as he did in the first and then finished the prayer; by then the sun (eclipse) had cleared. He delivered the Khutba (sermon) and after praising and glorifying Allah he said, The sun and the moon are two signs against the signs of Allah; they do not eclipse on the death or life of anyone. So when you see the eclipse, remember Allah and say Takbir, pray and give Sadaqa. The Prophet then said, O followers of Muhammad! By Allah! There is none who has more ghaira (selfrespect) than Allah as He has forbidden that His slaves, male or female commit adultery (illegal sexual intercourse). O followers of Muhammad! By Allah! If you knew that which I know you would laugh little and weep much.
📗 *Sahih Hadees*
*Sahih Bukhari Hadees # 1044*
No comments :
Post a Comment