07/02/2018

Allah Ki Taraf Se Paanch (5) Sazaa Ka Bayaan

Bismillahirrahamanirrahim

🌿 *Zaroor padhiye aur aaj ke haalaat Ka jaaezah karein aur is Hadees par ghaur kariye.*
-
*Raavi-e-Hadees Abdullaah Bin Umar (RaziyAllaahu Anhuma),*
-
🌿 *Rasool Allaah (Sallallaahu Alaihi Wa Sallam) hamaari taraf mutawajjey hokar farmaaya :*

🌿 *"Muhaajireen ki jamaa'at ! Paanch baatein hai jab tum un mein Mubtilaa hojaogey, aur mai Allaah ki panaah chaahta hoon is baat se ke tum us mein Mubtilaa ho.*

*(Woh paanch baatein yeh hai)*

🌿 *(1) Pehli yeh ke jab Kisi Qaum mein Alaaniya (kholey aam) Fahash (fisq wa fujoor aur Zinakaari) hone lag jaaye, tou un mein Taa'oon aur aisi beemaariyaan phoot padti hai jo unse pehle ke logon mein na thi.*

🌿 *(2) Doosri yeh ke jab log naaptol mein Kami Karne lag jaate hain tou woh Qahat (sookha padna) Muaashi (paiso ki) tangi aur apne Hukmaraanon ki zyaadati ke shikaar hojate hain.*

🌿 *(3) Teesri yeh ke jab log apne Maalon ki Zakaat adaa nahi karte hain tou Allaah Ta'aalaa Aasmaan se baarish ko rok deta hai, aur agar Zameen par Chaupaaye (jaanvar) na hotey tou Aasmaan se paani ka ek qatrah bhi na girta.*
*
💢 *(4) Chauthi yeh ke jab log log Allaah Aur Uske Rasool ke Ahad wa Paimaan ko tod detey hain tou Allaah Ta'aalaa unke alaavah logon mein se kisi Dushman ko musallat kardeta hai, woh jo kuch unke paas hota hai Chheen leta hai.*

🌿 *(5) Paanchvi yeh ke jab unke Hukmaraan Allaah ki kitaab ke mutaabiq faisley nahi karte, tou Allaah Ta'aalaa un mein phoot aur ikhtelaaf daal deta hai."*
-
*📚[Sunan Ibn Maajah, Kitaab-ul-Fitan, Hadees (Saheeh) : 4019]*

No comments :

Post a Comment