16/05/2018

Ramadan ka Chaand ko Dekh kar Roza Rakhna

*_⭕ Kya har ilaaqe ke log apne yahan ke chaand ko dekh kar Roza rakhenge ya Saudia ke chaand ko dekh kar❓*

Sahih Jawaab hai *Apne ilaaqe ke hisaab se*

Ek shehar ki Rooiyyat (dekhna) qareebi un tamam shehar walon ke liye kaafi hogi jin ka matla’ ek ho. Matla’ ke ikhtelaaf se ek shehar ki rooiyyat doosre shehar ke liye nahi maani jaayegi. Daleel:

عَنْ كُرَيْبٍ، أَنَّ أُمَّ الْفَضْلِ بِنْتَ الْحَارِثِ، بَعَثَتْهُ إِلَى مُعَاوِيَةَ بِالشَّامِ قَالَ فَقَدِمْتُ الشَّامَ فَقَضَيْتُ حَاجَتَهَا وَاسْتُهِلَّ عَلَىَّ رَمَضَانُ وَأَنَا بِالشَّامِ فَرَأَيْتُ الْهِلاَلَ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ ثُمَّ قَدِمْتُ الْمَدِينَةَ فِي آخِرِ الشَّهْرِ فَسَأَلَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبَّاسٍ - رضى الله عنهما - ثُمَّ ذَكَرَ الْهِلاَلَ فَقَالَ مَتَى رَأَيْتُمُ الْهِلاَلَ فَقُلْتُ رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ ‏.‏ فَقَالَ أَنْتَ رَأَيْتَهُ فَقُلْتُ نَعَمْ وَرَآهُ النَّاسُ وَصَامُوا وَصَامَ مُعَاوِيَةُ ‏.‏ فَقَالَ لَكِنَّا رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ السَّبْتِ فَلاَ نَزَالُ نَصُومُ حَتَّى نُكْمِلَ ثَلاَثِينَ أَوْ نَرَاهُ ‏.‏ فَقُلْتُ أَوَلاَ تَكْتَفِي بِرُؤْيَةِ مُعَاوِيَةَ وَصِيَامِهِ فَقَالَ لاَ هَكَذَا أَمَرَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم​

Tarjumah: Hazrat Kuraib se riwayat hai ke Hazrat Umm ul Fazl Bint e Haris Radhiallahu Anha ne mujhe Hazrat Mu’aawiyah Radhiallahu Anhu ki taraf mulk e Shaam bheja. Main Shaam mein pahuncha to main ne Hazrat Umm e Fazl Radhiallahu Anha ka kaam poora kiya. Aur wahein par Ramadhan ul Mubarak ka chaand zahir ho gaya. Aur main ne Shaam mein hi juma’ (fariday) ki raat chaand dekha phir main maheene ke aakhir mein Madinah aaya to Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne chaand ka zikr kiya to mujhe poochne lage ke tum ne chaand kab dekha hai? To main ne kaha ke hum ne juma’ ki raat chaand dekha hai. Phir farmaya! Tum ne khud dekha hai? Main ne kaha haan! Aur logon ne bhi dekha hai aur unhon ne Roza rakha Hazrat Mu’aawiyah Radhiallahu Anhu ne bhi Roza rakha. Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha ki lekin hum ne to saturday ki raat chaand dekha hai, or saturday se Roza shuru kiya hai, ab chaand ho jaane tak hum to tees (30) Roze poore karenge ya yeh ki chaand nazar aa jaaye. Main ne kaha ki kya Hazrat Mu’aawiyah Radhiallahu Anhu ka chaand dekhna aur un ka roza rakhna kaafi nahi hai? Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha nahi! RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne hamein isi tarah karne ka hukm farmaya hai.
(Sahih Muslim: 1087)
Yeh hadees Muslim, Tirmizi (693), Nasai (2111), Abu Dawood (2332) waghera mein maujood hai, is Hadees par Muhaddiseen ke Abwab se baat aur bhi wazeh ho jaati hai.

Sahih Muslim ka baab:
باب بَيَانِ أَنَّ لِكُلِّ بَلَدٍ رُؤْيَتَهُمْ وَأَنَّهُمْ إِذَا رَأَوْا الْهِلَالَ بِبَلَدٍ لَا يَثْبُتُ حُكْمُهُ لِمَا بَعُدَ عَنْهُمْ​

Imam Tirmizi Rahimahullah ka baab:
باب مَا جَاءَ لِكُلِّ أَهْلِ بَلَدٍ رُؤْيَتُهُمْ ‏‏​

Imam Nasai Rahimahullah ka baab:

باب اخْتِلاَفِ أَهْلِ الآفَاقِ فِي الرُّؤْيَةِ ‏‏​

Imam Abu Dawood Rahimahullah ka baab:
باب إِذَا رُؤِيَ الْهِلاَلُ فِي بَلَدٍ قَبْلَ الآخَرِينَ بِلَيْلَةٍ​

No comments :

Post a Comment