*📮RISHTEDARO SE TALLUQAAT JODE RAKHNE KI TAKEED AUR USEY TODNE KA WABAAL*
_*✏Transliteration by : Bint Iqbal*_
https://ⓣelegram.me/paighaameislam
*📝Part-2(Last)*
______________________________________
*🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم🍃*
*🔴Hadees e Nabwi*
_✔Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :_
*"Jo Allah aur akhirat par emaan rakhta hai usey apne rishtedaro ka khayal rakhna chahiye."*
*📒Sahih Bukhari : 6138*
______________________________________
*✔Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :* _Jo chahta ho ke uski rozi me kushadgi ho aur uski umr me izafa ho to usey apne rishtedaro ke saath sila rahmi(rishte jodna/unke sath achha suluk) karna chahiye."_
*📚Sahih Bukhari :5986*
*Sahih Muslim :2557*
______________________________________
_✔Abu ayyub ansari Razi Allahu anhu farmate hain ke ek admi ne pucha :_ Ai Allah ke Rasool ! Koi aisa amal mujhe bataiye ke uske zariye jannat hasil kar loon.
_*Nabi sallallaho alaihi wasallam ne jawab me farmaya :*_
*"Allah ki khalis bandagi karo. Uske saath kisi ko shareek na karo, namaz qayem karo, zakat ada karo aur sila rahmi kiya karo."*
*📚Sahih Bukhari : 5983*
*Sahih Muslim : 13*
______________________________________
*✔Syedna Abu Bakr Razi Allahu anhu ki riwayet hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
_" Zulm wa baghawat aur qata rahmi (rishta nata todne) jaisa koi gunah nahi hai, jo is layeq ho ke Allah Ta'ala uske karne wale ko is duniya me bhi saza de bawajood iske ke uski saza usne akhirat me bhi rakh chhodi ho."_
*📚Abu Dawood, 4902*
*Tirmizi, 2511*
*Ibn Majah, 3413*
______________________________________
_✔Ummul Momineen Syeda Ayesha Razi Allahu anha farmati hain ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :_
_*"Nata arsh se latka hua hai aur kahta hai : jo mujhko milaye Allah usko apne se milayega aur jo mujhko kaate Allah usko apne se kaat dega."*_
*📙Sahih Muslim :2555*
______________________________________
*✔Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshaad hai :*
_"Jannat me rishta todne aur kaatne wala na jayega."_
*📗Sahih Muslim :2556*
______________________________________
_✔Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :_
_*"Sila rahmi karne wala wo nahi hai jo badle ke taur pe sila rahmi karta hai balki asal me sila rahmi to ye hai ke jab koi qata(rishta katna) rahmi kare to wo usey jode."*_
*📘Sahih Bukhari : 5991*
______________________________________
*✔Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
_"Aulaad adam ke amaal jumeraat ki shaam aur jume ke Allah Ta'ala ko pesh kiye jate hain to Allah Ta'ala rishte todne wale shakhs ka koi amal qubul nahin karta. "_
*📗Sahih Targheeb : 2538*
*Hasan Albani*
🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
No comments :
Post a Comment