Bismillahhirrahmanirrahi
Baalo ko colour karna sunnat hai Yani ke mard ke liye Sar ke baal aur dadhi aur Aurat ke liye sirf uske sar ke baal.
Safed baalo ko na rangna Yahoodi aur issaiyo ka kaam hai
Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Yahoodi aur isaai apne baalo ko rangte nahi hai, isliye unse alag karo(yani alag dikho).
Sahih Muslim, 2103
Baalo ko Kaala Rangna haram hai
Mafhoom e hadees:
Jabir Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Abu bakr Radiallahu anhu ke walid ke baalo ko dekha to farmaya ke iske rang ko kisi chiz se badal do lekin kaale rang se bache.
Sahih Muslim, 2102Baalo ko kaala rangne wala Jannat ki khushboo tak na payega
Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya akhir zamane me kuch log kabootar ke seene ki tarah siyaah khizaab(black dye) lagayenge wo jannat ki khusbhu tak na payenge.
Narrated by Abu Dawood, 4212; al-Nasaa’i, 5075)Sahih
Baalo ko Rangne ki sabse behatar chiz heena aur katam
Abu Dharr Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya sabse achhi chiz jisse is budhape ko(yani safed baalo ko) badla jaye, henna(mehndi) aur katam(wasmah) hai.
Al-Tirmizi:1753,Abu Dawud: 4205,ibn Majah: 3622
Ibn Al-Qayyim ne kaha:
Baalo ko bilkul kala karna mana hai, lekin agar koi chiz henna me miladi jaye, jaise katam(wasmah) waghaira tab usme koi burai nahi hai.
Katam aur henna milkar baalo ko wo rang dete hai joki laal aur kaale ke bich ka hota hai.Wasmah(woad leaves) ki tarah nahi jo baalo ko aise kaala karti hai jaise koyla(coal).
Zaad al-Ma’aad, 4/336
wasmah(woad) aisa paudha hai jo ke dye ke liye istemal hota hai.
To isse hame ye malum chalta hai ke ham katam ko akele ni istemaal kar sakte kyunki ye khalis kaala rang deta hai, lekin ise henna ke sath use kar sakte hai jisse ke hame Kaale aur laal ke bich ka rang milta hai jise ham reddish black kah sakte hai.
Note : Katam ek tarah ka paudha hota hai joki black colour deta hai, jaise ke henna yani mehndi ka paudha hota hai lekin wo laal rang deta hai
No comments :
Post a Comment