11/09/2018

RISHWAT LENA AUR DENA KAISA HAI❓


Bismillahhirrahmanirrahim🍃 🍂

🔴AL-QUR’AN

وَلَا تَأْكُلُوٓا۟ أَمْوَٰلَكُم بَيْنَكُم بِٱلْبَٰطِلِ وَتُدْلُوا۟ بِهَآ إِلَى ٱلْحُكَّامِ لِتَأْكُلُوا۟ فَرِيقًۭا مِّنْ أَمْوَٰلِ ٱلنَّاسِ بِٱلْإِثْمِ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ

“aur ek dusre ka maal na-haq na khaaya karo, na haakimo ko rishwat pahocha kar kisi ka kuch maal zulm wa sitam se apna kar liya karo, halaanki tum jaante ho”
📘(Surah Baqra 2 : 188)

🔵HADEES

✔☘Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Rishwat lene aur Rishwat deney walon par  Laanat farmayee hai –
📚 Ibn Maajah,(2313) classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Ibn Maajah

🔘FATWA

✔Sheikh ibn Uthaymeen ne kaha:
Wo rishwat jiske zariye koi apna haq hasil karta hai, jaise ke jab koi shakhs apna haq bina kuch rupaye diye  hasil nahi kar sakta hai,to jo  shaksh rishwat leta hai wo uske liye haram hai,lekin jo shakhs rishwat de raha hai wo haram nahi hai, kyunki rishwat dene wala sirf isliye rishwat de raha hai kyunki usey apna haq hasil karna hai,lekin jo shakhs rishwat le raha hai wo gunah kar raha hai kyunki wo jo hasil kar raha hai(yani rishwat le raha hai) wo uska haqdar nahi hai.
📚Fataawa Islamiyyah (4/302)

✒Haq ke liye rishwat dena ke mane ye hai,  jaise ham license banwane jate hai, aur hame gadi chalani aati bhi hai lekin uske bad bhi license banane wala license nahi bana raha hai aur bar bar fail kar de raha hai driving me, sirf isliye ke aap use kuch Rupaye de de,jabki apko license banwane ka haq hai kyunki ap driving kar lete hai. To jo rupiya ham us haq ko hasil karne ke liye denge to ham uske gunahgar nahi honge, kyunki wo hamara haq hai aur hame apna haq bina rupaye diye nahi mil pa raha hai, to jo Rupaye le raha hai wo rupaya uske liye haram hai.Lekin dene wale ke liye haram nahi kyunki usey apna haq bina rupaye diye nahi mil payega.

Lekin agar koi shakhs jo ki gadi chala bhi nahi pata hai aur paise dekar apna farzi license banwana raha hai to uska Rupiya dena haram hoga kyunki usey gadi chalani bhi nahi aati aur wo license banwana raha jo ki uska haq nahi hai, to is tarah ke muamle me Rishwat lene aur dene wala dono gunahgar hai,aur wo maal jo diya aur liya ja raha hai wo bhi haram hai.

Aye Allah hame haram kaam karne se bacha aur sahi Raste pe chalne ki taufeeq ata kar. Ameen

https://allah-ek.blogspot.com/?m=1

No comments :

Post a Comment