29/01/2019

📝*Aasan Nekiya-8️⃣*

🇸🇦⚖🇸🇦⚖🇸🇦⚖🇸🇦⚖🇸🇦⚖
*آسان نیکیا*

  *نیکی کی کسی چھوٹی سی بات کو حقیر نا سمجھو*

*Neki ki kisi choti si baat ko Haqeer na samjho*
〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️

*_اَسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَ رَحْمَةُ اللّٰهِ وَ بَرَكَاتُه_*

🌀 *Jiske Paas Sadqah Dene Ke liye Koi Bhi Cheez Na Ho to wo
*Phir Achi Baat Par Amal Kare Aur Buri Baton se Baaz Rahay*🌀
-------------
👉Note :: *Neeche ki Hadees Gour se Padhey*

💕 Hadees💕

🥀Hazrat Saeed Bin Abu Burdah Se Rivayat Hai Un se Un ke Baap Abu Burda Ne Un ke Dada Abu Moosa Ash'ri Se ke Nabi Kareem SalAllahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke *Har Musalman Par Sadqa Karna Zaruri Hai.* Logon Ne Poocha 🥀

*Aye Allah ke Nabi! *Agar Kisi Ke Paas Kuch Nah Ho* ?

Aap SalAllahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Phir *Apne Haath Se Kuch Kama Kar Khud Ko Bhi Nafa Pohnchaye Aur Sadqa Bhi Kare.* Logon Ne Kaha *Agar Is Ki Taaqat Nah Ho?*  Farmaya Ke *Phir Kisi Haajat Mand Faryadi ki Madad Kare*. Logon Ne Kaha Agar Is ki Bhi Sakat Nah Ho. Farmaya *Phir Achi Baat Par Amal Kare Aur Buri Baton se Baaz Rahay*. Is ka Yahi Sadqa Hai🍃

🍃 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ *ہر مسلمان پر صدقہ کرنا ضروری ہے* ۔ لوگوں نے پوچھا اے اللہ کے نبی ! اگر کسی کے پاس کچھ نہ ہو ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ پھر اپنے ہاتھ سے کچھ کما کر خود کو بھی نفع پہنچائے اور صدقہ بھی کرے ۔ *لوگوں نے کہا اگر اس کی طاقت نہ ہو* ؟ فرمایا کہ پھر *کسی حاجت مند فریادی کی مدد کرے* ۔ لوگوں نے کہا اگر اس کی بھی سکت نہ ہو ۔ فرمایا *پھر اچھی بات پر عمل کرے اور بری باتوں سے باز رہے ۔ اس کا یہی صدقہ ہے لوگوں نے کہا اگر اس کی بھی سکت نہ ہو ۔ فرمایا پھر *اچھی بات پر عمل کرے اور بری باتوں سے باز رہے* ۔ اس کا یہی صدقہ ہے ۔* ۔ 🍃

✍️Reference : Sahih al-Bukhari 1445
In-book reference : Book 24, Hadith 51

🍃 Aisi khaas nekiya kare jin ka wazan mizaan-e-amal mein bhaari ho.🍃

👉 Bhai & Behno uper ki Hadees Ke Mutabikh Aasan Nekiyo me  8️⃣  jisko sadaqa dene ki taqat na hoti unhe is baat per amal karne ki liye kahey* ان شاء اللہ

*جزاك الله خيرا کثيرا في الدنيا والخرة .بارك الله في علمك وعملك اللهم امين*

👉  Please share with your family's & friends
〰〰〰〰〰〰〰〰〰

No comments :

Post a Comment