10/05/2019

Hazrat Jibraeel ki Bad'Dua par RasoolAllah ﷺ ki "Aameen

🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙

*#Ramadan#Roza# #Hadees# Dua#Zikr*

*Hazrat Jibraeel ki Bad'Dua par RasoolAllah ﷺ ki "Aameen"*

*Hazrat Kab bin Ajrah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Membar ke paas Jama hojao ham sab jama hogaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Jab Membar ki Pehle sidhi par qadam rakha to farmaya: "Aameen", Dusri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen", Jab Teesri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"*

Sahaba ne Arz kiya Ya RasoolAllah! Aaj ham ne Aap se aisi baat suni hai jo pehle kabhi nahi suni, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Mere paas Jibraeel Aaye the

► *Jab maine pehli sidhi par Qadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad hojaye wo shaks jo Ramadhan ul Mubarak ka mahina paye phir bhi us ki Bakhshish na ho Maine kaha: "Aameen"*.

► *Jab Maine dusri sidhi par Qadam rakha to unho ne kaha Halak o Barbad hojaye wo Shaks jis ke samne Aap ka Naam Mubarak liya jaye aur wo Aap ki khidmat Aqdas mein Darood Shareef na bheije, Maine kaha: "Aameen".*

► Jab maine Teesri sidhi par Qadam rakha to unho ne kaha Halak o Barbad hojaye wo Shaks jo Apne Waldain ko budhape ki halat mein paye lekin wo (un ki khidmat kar ke) Jannat mein dakhil na ho, Maine kaha: "Aameen".

*[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256]*

●═══════════════════◄►══════════════════●

Once the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) was ascending the pulpit. When he climbed the one step, he said 'Aameen'. He repeated, "Aameen" when he climbed the second step. He uttered 'Aameen' when he climbed the third step. When the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) descended the pulpit, the companions told him that they happened to hear something new. He (Sallallahu Alaihi Wasallam) asked them what they meant. The companions said that he uttered Ameen while ascending every step of the pulpit. The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam told them. Hadrat Jibreel was before me,

► When I ascended the first step he cursed, "Woe to him who in spite of having been provided with he month of Ramdhan fails to obtain Allah's forgiveness. I said, "Aameen".

► When I climbed the second step the angel cursed him who fails to send blessing on the Prophet after listening to his name. I said "Aameen".

► When I climbed the third step the angel cursed "Woe to him who finds either one and both of his parents in old age, and yet is not able to enter Heaven". I said "Aameen".

*[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256, Narrated by Ibn Hibbaan, 3/188; classed as saheeh by al-Shaykh al-Albaani in Saheeh al-Targheeb, 1679]*

1 comment :

  1. Play online game : Solitaire World Card Game Online Card
    Play online game : Solitaire World Card 우리카지노 Game online by SolitaireWorld Card Game for android or iOS. Play offline or online Sep 03, 2020 · Uploaded 예스카지노 by Solitaire Games

    ReplyDelete