07/07/2019

Istekhara ka Tareeqa

بسم الله الرحمن الرحيم.

Sawal: Istekhara kin kin baaton kis liye kar skte ?
Whats the criteria ?
Uska sahi tareeqa?

JAWAAB
Istekhara arabi zuban mein lafz KHAIR se bana hai, aur babe-e-istif’aal mein aata hai, yani bhalayi mangana. Istekhara harr kaam ke liye karna chahiye. Istekhara ALLAH se bhalayi mangane ka naam hai. Istekhara mustaqbil ki khabar janane ka tareeqa nahee

Istekhara kab karein?

1. Harr kaam mein istekhara karna chahiye.
2. Jab kisi kaam ka pakka irada karein to istekhara karna chahiye.
3. Ek se ziyada raaste ya option ke waqt jo sab se behtar maloom ho uss ke liye istekhara karna chahiye.

Istekhara ka tareeqa:

1. Jiss kaam ke karne ka irada kiya hai uss ki achche tareeqe se maloomat le lena.

2. Uss maidan ke mahireen se raye mashora karna. Apne badon se, apne rishtedaro se raye mashora karna.

3. Harr angle aur zawiye se uss kaam ki tahqeeq karna.

4. Jab poori tarah faisala ho jaye to din ya raat mein kisi bhi waqt par istekhara ki namaaz padhein.

5. Sab se pehle achchi tarah wuzu banayein.

6. 2-rakaat nafil namaz adaa karein.Aur Istekhara ki dua karein.

7.Dua ke darmiyan HAZAL AMRA ki jagah par apne kaam ko zikar karein.

8.Allah p yaqeen(tawakku) kar k mamle ko uske hawale kar dein.

Istekhara ke talluq se galat fehmiyaan aur badd aqeedgiyan jo kabhi shirk ki taraf le jaati hain.

1.Istekhara gaib maloom karne ka zariya hai.Asatgfirullah

2. Istekhara se mustaqbill ki khabar maloom karne me madad milti hai.

Allahu Akbar

3. Istekhara allah se raye mashore ka naam hai. Asatgfirullah

4. Istekhara kar ke sone ke baad khwab mein Green ya Red jhandi dikhayi deti hai..

5. Istekhara karne ke baad koi buzrug khwab mein aate hain.

6. Khwab mein kisi qisam ka ishara milta hai.

Note-Siwae Ambiya alaihi salat wo salam k alawa kisi k khwab ki koi haqeeqat ya Deen me daleel nahi hai.

7. Istekhara tab karein jab confusion ho.

8.istekhara sirf 7 yaaa 3 dik tk hi kr skte.

9.Istekhara kisi bade alim peer-murshid se karwana durust nahi ...

Istekhara ki Daleel-

Jabir radiAllahu tala anhu farmate hain ki Allah k Nabi sallallahu alaihi wasallam hamein Istekhara us tarah sikhate the jaise Quraan ki ayat.
(Yani har baat p istekhara ki taleem di .....darasal istekhara Allah se madad talab karna hai...so hume kisi kaam k liye, safar me jane se pahle, shadi k liye, Makan kharidane k liye, kisi karobar k liye....har chiz k liye "istekhara" padhna chahiye)

Dua-
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ،  فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي  عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ )ـ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ)  وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي  (فِي  أعَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ) ـ  فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ،  وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ

Allahumma inni astakhiruka biilmika, Wa astaqdiruka bi-qudratika, Wa as'alaka min fadlik-al-`azeem Fa-innaka taqdiru Wala aqdiru, Wa taalamu Wala aalamu, Wa anta Allamulghuyub. Allahumma, in kunta taalam anna hazal amra khairun li fi dini wa maashi waaqibati Amri (ajili `Amri wa'ajilihi) Faqdirhu wa yas-sirhu li summa barik li Fihi, Wa in kunta ta'lamu anna hazal amra shar-run li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati `Amri ( fi ajili `Amri wa ajilihi) Fasrifhu anni wa asrifni anhu. Waqdur li al-khaira haitsu kana Summa ardini bihi.'

Tarjumah: Eh mere Allah ! Main  tujhse tere ilm ki badolat khair talab karta hu aur teri qudrat ki badolat tujh se taaqat mangta hu aur tere fazal e azeem ka talabgaar hu ke qudrat to hi rakhta hai aur mujhe koi qudrat nahi. ilm tujh hi ko hai aur mein kuch nahi jaanta aur to tamam posheeda baton ko janne wala hai.  Eh mere Allah  agar to jaanta hai ke ye kaam jis ke liye istikhara kiya ja raha hai mere deen duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se mere liye behtar hai (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh behtar hai ) to isko mere liye naseeb kar aur is ka husool mere liye aasaan kar aur phir is mein mujhe barket ataa kar aur agar to jaanta hai ke yeh kaam mere deen, duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se bura hai. (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh bura  hai )  to usko mujh se dur kar de aur mujhe bhi is se dur kar de. phir mere liye khair muqaddar farma de, jahan bhi woh ho aur is se mere dil ko mutmaen bhi kar day

Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ""is kaam"" ki jagah apne kaam ka naam le .

Sahih Bukhari, Vol 2, 1166

Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa.7

No comments :

Post a Comment