*Baith Kar Namaz Padhne Kay Ahkam*
*Maqbool Ahmad Salfi*
_Islamic Dawah Centre Taif_
Allah Ta'ala ne deen aasan banaya hai,yahi wajah hai ke apne bando ko deen par amal karne ke liye un ki taqat o qudrat se zeyada mukkalaf nahi banaya hai,
Allah Ta'ala ka farman hai:
*لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا*
*{Surah Al-Baqara, Verse 286}*
*Tarjuma: Allah Ta'ala kisi jan ko uss ki taqat se zeyada mukkalaf nahi karta.*
Aur Allah ka farman hai:
*فَاتَّقُوا اللَّهَ مَا اسْتَطَعْتُم*ْ
*{Surah At-Taghabun, Verse 16}*
*Tarjuma: Jis qadad taqat hai uss qadar Allah se daro.*
Aur Allah ka farman hai:
*يُرِيدُ اللَّهُ بِكُمُ الْيُسْرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ الْعُسْرَ*
*{Surah Al-Baqara, Verse 185}*
*Tarjuma: Allah kairada tumhare sath aasani ka hai sakhti ka nahi.*
Insano ke liye jismani halat hamesha yaksa nahi rahte,mausam ki tabdili,halat ke badlao aur taqdir mai likhi bimari o pareshani ke sabab uthne baithne mai farq padta rahta hai. Namaz chonke jismani ibadat hai lehaza uthne baithne mai pareshani ke sabab usd ki afayegi mai bhi insani taqat ka aitebar hoga aur jis kaifiyat mai namaz ki adayegi ka muthmal hoga uss kaifiyat mai namaz ada karega. Imram bin husain radi Allahu anhuma se marwi hai unho ne bayan kiya ke mujhe bawaseer ka marz tha iss liye mai ne Nabi Karimﷺ se namaz ke bare mai daryaft kiya to Aapﷺ ne farmaya:
*صَلِّ قَائِمًا، فإنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَقَاعِدًا، فإنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَعَلَى جَنْبٍ.( صحيح البخاري:1117)*
*Tarjuma: Khde ho ker namaz padha karo agar iski bhi taqat na ho to baith kar aur agar iski bhi na ho to pahlo ke bal laite kar padh lo.*
Ye hadees hame batlati hai ke jise namaz mai khade hone ki isteta'at nahi hai wo baith kar namaz ada karega aur jo baith kar namaz nahi padh sakta wo laitey laitey pahlo par namaz ada kar sakta hai.
Mai yaha iss mazmon mai baith kar namaz padhne ka tariqa aur uss se mutaliq chand ahkam bayan karne wala ho, iss liye isi munasibat se mukhtesir bat hogi aur pahle do ahem masle phir chand ahkam hoge.
*Pahla Ahem Masla : Zameen Par Baith Kar Namaz Padhne Ki Surat*
Iss masle mai sab se pahla ye sawal hoga ke wo kaunsi halat hai jab namazi zameen par baith kar namaz ada karega? To iska jawab uper guzri hadees ma maujud hai ke jan koye apne pairo par khade hone se aajiz o mazor ho to wo zameen par baith kar namaz ada karega. Ab iss babat dosra sawal ye hai ke zameen par baithne, rukoo karne aur sajda karne ki kaifiyat keya hogi? Zameen par baith kar namaz padhne ka tariqa ye hai ke namazi halate qayam mai sarin ke bal char zano hoker baithe yani apni dono pindliyo ko zano ke sath ekkhatti kare. Yahi kaifiyat rukoo aur rukoo ke bad qayam mai hogi kiyonki ye qayam ke mahel mai hai phir zameen par sajda kare aur do sajdo mai baithte waqt afterash par amal kare jis tarah qayeda ola mai baithte hai balke qayeda bhi isi tarah kare.
*Dosra Ahem Masal : Kursi Par Baith Kar Namaz Padhne Ki Surat*
Kursi par namaz padhne ki mukhtalif surtey hai, ye surtey mariz ki isteta'at par munhasir hai. Namaz mai qayam,rukoo aur sajda ye teeno arkan hai. Kursi par namaz padhne ki ek Surat to ye hai ke agar mariz khade hone se mazor hai magar rukoo o sujood kar sakta hai to qayam ke waqt kursi par baithe,rukoo aur sajda ko apni asal surat mai baja laye. Dosri surat ye hai ke mariz qayam ki isteta'at rakhta hai magar rukoo o sujood ki adayegi asal surat mai ada nahi kar sakta hai to khade hoker qayam kare, rukoo aur sujood ki jaga kursi ka istemal kare. Rukoo mai sir ko thoda jhukaye aur sajda mai sir ko rukoo se zeyada jhukaye.
Iss mai mazid tafasil hai jo mufasil kitabo mai dekhi ja sakti hai.
*Saff Mai Kursi Rakhne Ki Kaifiyat :*
Jab namazi shoro se kursi par baith kar namaz padhe uss waqt kursi saff ki jaga mai aise rakhe ke uski posht namaziyo ke qadmo ke barabar ho goya kursi ka pichla hissa namaziyo ki ayedi ke barabar ho laikin agar namazi qayam asli surat mai kare aur rukoo o sujood kursi par kare to kursi peeche karni hogi take sare namaziyo ki tarah qadam se qadam mila ker khada ho sakey. Ye Surat kursi ki wajah se zara mushkil hai iss liye namaz padhne ke liye aise jaga ka inteqab kare jaha peeche namazi ko taklif na ho.
*Zameen Par Baith Kar Namaz Padhna Afzal Hai Ya Kursi Par*
Ek sawal ye kiya jata hai ke bimar ke liye kursi par baith kar namaz padhna afzal hai ya zameen par baith kar?mere ilm ki had tak iss masle mai afzaliyat ka sawal paida nahi hota balke jawaz o adm jawaz ka masla hai. Agar koye qayam ki taqat na rakhe magar asli shakal mai rukoo aur sajda karne ki taqat rakhta hai to uss ke liye rukoo o sujood ke liye kursi ka istemal jayez nahi hai aur isi tarah rukoo o sujood mai mazor hai magar qaaym kar sakta hai to qayam ke liye kursi ka istemal jayez nahi hai. Hame malom hai ke kursi par namaz apni asli surat mai nahi hai balke adm qudrat ki wajah se shariyat ki janib se saholat o badil hai bator khas sajda jis mai saat aaza zameen par hona chahye,ye kaifiyat nahi paye jati. Agar koye kursi par baith kar namaz ada kare aur zameem par sajda ki isteta'at ke bawajud ishare se sajda kare to ye amal jayez nahi hai.
*Imam Baith Kar Namaz Padhaye To Muqtadi Kaise Namaz padhe?*
Behter hai ke mariz imamat na karaye take iss mariz ko aur uss ke peeche digar namazi ko taklif na ho taham uski imamat mai namaz jayez hai. Jab koye imam kisi uzar ki wajah se baith kar namaz Padhaye to uss ke peeche namazi bhi baith kar namaz padhe kiyonki Muqtadi ko imam ki matabiat ka hukm diya gaya hai. Nabiﷺ ka farman hai :
*وإذا صلى قاعدًا فصلوا قعودًا أجمعون(صحيح مسلم:411)*
*Tarjuma: Aur jab imam namz baith kar Padhaye to tum bhi baith kar padho.*
Baaz ulma Muqtadi ke liye khade hoker namaz padhne ke qayel hai magar qawa mauquf baith kar padhna hi hai jaisa ke farman Rasool se zaher hota hai albatta Muqtadi ne khade hoker bhi namaz ada karli to uski namaz sahih hai.
*Qudrat Rakhte Howe Nafil Baith Kar Padhna Aur Uska Ajar*
Jis ko qudrat hai wo farz namaz baith kar ada nahi kar sakta hai, aur agar aisa karega to uss ki wo namaz nahi hogi laikin qudrat rakhne ke bawajud nafil baith kar ada ki ja sakti hai aur iss surat mai khade hone ke muqabile mai aadha ajar milega. Sayedna Anas radi Allahu anhu bayan karte hai:
*خرج فرأى أُناسًا يصلُّونَ قعودًا فقال صلاةُ القاعدِ علَى النِّصفِ من صلاةِ القائمِ(صحيح ابن ماجه:1022)*
*Tarjuma : Rasool Allahﷺ ghar se nikle to dekha ke kuch log baith kar namaz ada kar rahe hai to farmaya baith kar namaz ada karne wale ko qayam karne wale ki nisbat aaha ajar milega.*
Iss liye bando ko chahye ke nawafil khade hoker ada kare take pora pora ajar mile.
*Bimar Agar Farz Namaz Baith Kar Padhe To Keya Aadha Ajar Milega?*
Bimar agar baith kar namaz padhe to usey mukammal ajar milega kiyonki Nabiﷺ ka farman hai:
*إذا مرضَ العبدُ ، أو سافرَكُتِبَ له مثلُ ما كان يعملُ مُقيمًا صحيحًا (صحيح البخاري:2996)*
*Tarjuma : Jab banda bimar hota hai ya safar karta hai to uske liye in ibadat ka sawab likha jata hai jinhe aqamat ya sehat ke waqt ye kiya karta thaa.*
*Sajda Se Mutaliq Do Sawalo Ke Jawab*
*Pahla Sawal:* Aaj kal masajid mai marizo ke liye namaz ki adayegi ki khatir kursiya rakhi hoti hai aur iske aage takhti lagi hoti hai,namazi jab sajda karta hai to wo uss taqti par sajda kar leta hai. Iss amal ki sharae hasiyat keya hai?
*Jawab:* Shaikh Saleh Fauzan ne aise kursi par sajda karna na jayez kaha hai jis mai sajda ke liye aage taqti lagi ho. Inka istedal hai ke Nabiﷺ ne ek mariz ko takye par sajda karte howe dekha to usey phenk diya. Isi liye kursi par namaz padhne wale mariz ko chahye ke agar zameen par sajda karne ki qudrat rakhta ho to zameen par sajda kare warna kursi par hi rukoo ke muqable mai zara zeyada jhok kar sajda kare.
*Dosra Sawal :* Aisa gadda jo narm mulayam aur ooncha ho uss par namaz padhna jayez hai ke nahi?
*Jawab :* Garmi o sardi ya dhool mitti se bachne ke liye qalin,chataye aur halke gaddey par namaz padhna jayez hai. Nabiﷺ se chataye par namaz padhna aur sahaba ikram ka apne daman par sajda karna sahih bukhari mai mazkor hai. Ummul Momineen Maimuna Radi Allahu Anhuma Farmati hai:
*كان النبيُّ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي على الخُمْرَةِ (صحيح البخاري:381)*
*Tarjuma: Rasool Allahﷺ khajur ki chataye par namaz padhte they.*
Hazrat Anas Radi Allahu anhu kahte hai:
*كنا نُصلي مع النبيِّ صلى الله عليه وسلم ، فيضعُ أحدُنا طَرَفَ الثوبِ ، من شدةِ الحرِّ ، في مكان السجودِ.(صحيح البخاري:385)*
*Tarjuma : Hum Rasool Allahﷺ ke sath namaz padhte to hum mai se her aadmi garmi se bachne ke liye apne kapde ke daman par sajda karta.*
Zeyada oonchey aur sponge ke motey gadda se parhez kare yani khafif qism ka gadda istemal kare jis par sajda karne se peshani ko zameen par isteqarar ho.
*Ek Ahem Intebah*
*Aaj kal masajid mai badi tadad mai kursiya rakhi hoti hai, logo ko kursi ke masayel ka ilm kam hota hai aur mahez mamoli pareshani mai bhi dekha dekhi mukammal namaz kursi par hi ada karte hai iss liye aayema massjid logo ko kursi par namaz padhne ki kaifiyat o masayel se aagah kare aur iss silsile mai dosri saff aur daye o baye namaziyo ko taklif na ho iss ke liye munasib kursi aur jaga mutayen kare.*
✍Romaned by= Umme Eman
Bet 365, the best betting website you can use - Smfs.info
ReplyDeleteThe Bet 365, the best betting website you can use - 바카라사이트 Smfs.info. The Bet 365, the best gambling website you can use - Smfs.info. The Bet 365, the best gambling site you can use 우리카지노가입 - Smfs.info