21/01/2016

SHIRK KYA HAI

                        BISMILLAHIR-RAHAMANIR-RAHIM

                                           HADEETH

๐ŸAllah pak Qura'n -e- majeed me kayi mukhamaath par shirk ki burayi bayaan ki hai, ussey daraya aur dhamkaya hai...

๐ŸJaisa ke Allah(swt) farmate hain:

๐Ÿ“–Surah Luqman-13 ๐Ÿ“–

 ๐ŸŽ‰ Inna-sh shirka

 lazulmun azeem".

"(be-shak SHIRK sabse bada zulm hai (yane sabse bada gunah hai))"...

๐ŸŽ‰Beshak Allah nahi bakshega ki us ke sath shikr kiya jaye aur baksh dega jo is ke ilawa hoga, jise wo chahega. Aur jo koi Allah ke sath shirk kare, toh wo gumraahi me boht dur nikal gaya.

๐Ÿ“–Surah Al Nisa, ayat 116.๐Ÿ“–

๐ŸŽ‰ Shirk hai, shareek karna Allah ke siwa kisi makhlook ko, ibadat , muhabbat, Taazeem me, Allah ke barabar samajhna.

Allah taala ki makhsoos sifaat me; maslan, Khaliq, Raziq, Hajat rawa, mushkil kusha.

 Allah taala ki in sifat me kisi aur ko shareek samajhna ki koi aur bhi ye sab kuch kar sakta hai.

๐Ÿ”ฅQayamat ke din mushrikeen kahenge๐Ÿ”ฅ

๐ŸŽ‰“Allah ki qasam hum khuli gumraahi me the jab ham tumko Rabbul-aalameen ke barabar karar dete the.”

๐Ÿ“–Surah ashurah: ayat-97-98.๐Ÿ“–

๐Ÿ‘‰Iska matlab Allah ke barabar kisi ko karar dena, uski zaat me, uski sifaat me, uske hukuk me, uske ikhtiyaraat me, Yahi Shirk Kahlata Hai. Shirk, sabse bada Gunaah.

๐Ÿ“ข Rasool Allah ั•ฮฑโ„“โ„“ฮฑโ„“โ„“ฮฑะฝฯ… ฮฑโ„“ฮฑyะฝั” ฯ‰ฮฑั•ฮฑโ„“โ„“ฮฑะผ ne farmaya.

๐Ÿ‘‰ ki sabse bada gunah ye hai ki tum Allah ke sath kisi ko shareek karo, halanke usne tujhko paida kiya.

๐Ÿ“šSahi Bukhari -4477, Muslim :86.๐Ÿ“š

❓Shirk karne ka nuksaan kya hai❓

๐ŸŽ‰Jo Shaks  Allah ka Shareek tahrayega to, Allah ne  haram❌ ki us par  jannat ko, aur uska thikana aag ๐Ÿ”ฅhai aur in zalimo ke liye koi madadgaar nahi.

๐Ÿ“–Surah al Maida :ayat 72 ๐Ÿ“–

๐ŸShirk ka sabse bada nuksan ye hai ki shirk karna wale par jannat❌ haraam hai.

๐Ÿ“ข RasoolAllah ั•ฮฑโ„“โ„“ฮฑโ„“โ„“ฮฑะฝฯ… ฮฑโ„“ฮฑyะฝั” ฯ‰ฮฑั•ฮฑโ„“โ„“ฮฑะผ ne farmaya,

๐ŸŽ‰“Jo koi is haal me mare ki wo Allah ke siwa kisi aur ko pukarta ho to wo jahannam me dakhil hoga.


 ๐Ÿ“š Sahi Bukhari:4497
Sahi Muslim:92๐Ÿ“š

"Ya  Allah"๐Ÿ™Œ

 Hum is baat se tere panah  mangte hi ke  jante bojte kisiko tere shareek tehraya,
aur la ilm se hone wali khatavo, jaise Shirk Akbar se aur Shirk asgar se tujhse bakhshish  ke talabdar Hi Hume bakhshde Aameen ya Rabbul alameen.
๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น

No comments :

Post a Comment