07/05/2016

Zikr



                      بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم

Umarah bin Shabib As-Sabai radi allahu anhu se farmaya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shakhs magrib ke baad 10 baar ye padhe
Lā ilāha illallāh, waḥdahu lā sharīka lahu, lahul-mulku wa lahul-ḥamdu, yuḥyi wa yumītu, wa huwa Aalā kulli shai’in qadīr
to Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishta muqarrar kar denge jo subah tak shaitan se uski hifazat karega, uske liye 10 rahmat tak ki nekiya likh di jayegi, uske das barbad kar dene wale gunah maaf kar diye jayenge, aur 10 musalman gulam aazad karne ka sawab ata kiya jayega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1457-Hasan

Tarjuma : Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi, wo Akela hai uska koi sharik nahi , mulk usee ka hai aur tamam taarif usee ke liye hai wahi,  zindagi aur maut deta hai, aur wo har cheez par qadir hai
-----------
Note : Jo in azkar ko nahi padhta hai daily un sabse guzarish hai ki aaj se  daily is azkar ko jarur padhna, aur  abhi hi pahli furst mein 10 baar ye azkar padh lena in sha Allah aapko iska ajar mil jayega..Read it now plss warna shaitan bhula dega aapko
[9:46 PM, 4/26/2016] +91 94917 89601: Bismillahirrahmanirrahim

✦ Al Quran : Beshak Aasman aur zameen ke banane aur raat aur din ke aane jane mein aqalmando ke liye nishaniyan hain.
Wo jo ALLAH subhanahu ko khade aur baithe aur karwat lete yaad karte hain aur aasman aur zameen ki paidayeesh mein gaur karte hain aur (kahte hain ki)

✦ Eh hamare RAB tune ye sab befayda nahi banaya tu sab aibon se paak hai humein daozakh ke azab se bacha.

✦ Eh hamare RAB tune jisko dozakh mein dakhil kar diya usko tune ruswa kiya aur zalimo ka koi madadgar nahi hoga.

✦ Eh hamare RAB , Humne ek pukarne wale se suna jo imaan ke liye pukar raha tha ki apne RAB par imaan lao to hum imaan le aaye.

✦ Eh hamare RAB ab hamare gunah bakhs de aur humse hamari buraeeyo ko dur kar de aur humein neik logo ke saath maut ata farma.

✦ Eh hamare RAB hume wo ata farma jiska tune apne Rasoolo ke zariye se waada kiya hai aur humein Qayamat ke din ruswa na karna beshak tu wada khilafi nahi kara
Surah Aal-e-Imran (3) verse 190-194

No comments :

Post a Comment