10/09/2016

Musafa

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

✦ Al-Bara ibn Azib Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki jab do musalman milte hain aur musafa karte hain to unke juda hone se pahle hi unki maghfirat kar di jati hai
-Sunan Abu Dawud, Vol 3,1769-Sahih

✦ Abu Qatada Radi allahu anhu se rivayat hai ki maine Hazrat Anas Radhi allahu anhu se pucha ki Kya Musafa karne ka dastur Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke Sahaba mein tha to unhone kaha Haan

-Sahih Bukhari, Vol 7, 6263

✦ Umaimah bint Ruqaiqah Radi allahu anha farmati hai ki main Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein kuch aurton ke sath ( unke haath par) bait karne ke liye hazir huyee to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apni taqat ke mutabiq istataat ( pairwi) karte rahna magar main aurto se musafa nahi karta

-Sunan Ibn majah, Vol 2,1031-Sahih

No comments :

Post a Comment