09/12/2016

Darud ki Fazilat

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

✦ Mafhum-e-hadith- Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland
---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland honge
Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya is din (juma ke din) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai.
Sunan Abu Dawud, Jild 1,1035-Sahih

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada durud bhejte hain
Jamia Tirmidhi, Jild 1, 466-Hasan

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bakheel wo hai jiske samney mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na bhejey
Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1469 – Sahih

✦ Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho
Sunan Abu Dawud, Jild 2, 274-Sahih
----------

No comments :

Post a Comment