11/12/2016

Taweez ki Haqeeqat

                                                                                         بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

 Al-Quraan: (Aye Rasool!Salleallahu alaihi wasallam) Aap Kehdo Ke Mere Liye Allah Hi Kafi Hai, Aur Bharosa Rakhne Wale Usi(Allah) Par Bharosa Rakhte Hai.

Hadees:: Abdullah Ibne Mas’ud (Razi’Allahu Anhu) Ne Farmaya Ke, Rasool’Allah (Salle allahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –

“Taweez, Jhar-Foonk Sab Hi Shirk Hai”.
Ye Sunke Jainab (Razi’Allahu Anha) (Abdullah Ki Biwi) Ne Kaha, ‘Aap Ye Kya Keh Rahe Ho?’
*Allah Ki Qasam! Mere Aankh Ki Beemari Ke Waqt, Main Ek Yahudi Ke Paas Jati Thi Aur Wo Mujhe Taweez Deti Thi. Aur Uss Se Meri Beemari Dur Ho Jati Thi.
Tab Abdullah (Razi’Allahu Anhu) Ne Bataya – ‘Wo Tou Shaitani Aamal Tha. Dar’asal Shaitan Aapne Hath Se Tumhare Aankh Ko Daba Ke Rakhta Tha. Jab Yahudi Tumhe Taweez Pahenne Ko Detey, Tab Shaitan Wo Kaam Chhor Deta.
*Beshaq Tum Wohi Bayan Karo Jo Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –

“Allahumma Rabbin Nas Azabal Ba’asa Asfi Anta Shafi La Shafi Illa Anta Shafi La-Yugadiru Sakma”
Tarjuma: “Ya Allah Sarey Aalam Ka Rab, Taqleef Dur Karnewala, Shifa Ata Farma, Sirf Tu Hi Shifa Deney Wala Hai, Tere Bagair Koyi Shifa Dene Wala Nahi Hai, Aisi Shifa Ata Kar Takey Beemari Ek Dum Hi Na Rahe.
 (Abu Dawood, Vol 3, Hadees-485)
 Taweez ki haqeeqat taweez black magic taweez in islam
 by Adv.Faiz Syed


No comments :

Post a Comment