09/04/2017

Badbudar, kadwa, kantedar Thohar jahannamiyon ka khana Hoga

Jahannam Ka Bayan
#Part 7

------- Ahl E Jahannam ka khana aur peena -------
๐Ÿ”ฅ Jahannam me 4 types k khaane diye jayenge..
1. Zaqqum (Thohar)
2. Zaree (Kaante daar ghaas)
3. Ghisleen (Zakhmon ko wash Kiya Gaya Pani)
4. Zaa'ghussah (Halaq me phans kar utarne wala khana)

1. Zaqqum (Thohar)
๐Ÿ”ฅBadbudar, kadwa, kantedar Thohar jahannamiyon ka khana Hoga, Jo Jahannam ki teh me ugta hai aur uske shagufey yani (tehniyan) zehrile saanp jaise hain..

๐Ÿ”ฅ Thohar khane k baad khaolta Huwa Pani jahannamiyon Ko peene k liye diya jayega..

Mafhum E Quran.๐Ÿ‘‡๐Ÿป
Jahannam me zaqqum ka daraqt gunahgaron ka khana Hoga, dekhne me tel (oil) ki talchat jaisa hoga, pait me is tarha Josh maare ga jaise garm Pani khaolta hai..
(Surah Duqqan_A. 43---46)

๐Ÿ”ฅ Thohar ka kadwa'pan..๐Ÿ‘‡๐Ÿป
Hz Abdullah bin Abbas kehte hain, Rasool Allah Sallal'laahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,
"Agar Thohar ka ek drop duniya me gira diya jaye to saari duniya k jaandaron k asbaab e zindagi (yani anaaj wagaira), tabah karde, phr us saqs ka kya haal Hoga jis ki khoraak hi Thohar ho?"
(Sunan, masnad e Ahmed, Tirmizi, nisaai, aur Ibn E Maaja)

โœ To b continue...

No comments :

Post a Comment