Jahannam ka Bayan
#Part 8
Bismillahirrahamanirrahim
Ahl E Jahannam ka Khana aur Peena
2. Zaree yani kaante daar ghaas (grass)
Thohar k ilawa kantedaar grass aur intehai zehreeli aur badbu'dar jhaadi bhi jagannamiyon ka Khana hoga.
Mafhum E Quran๐๐ป
Jahannamiyon ko khaolte huwe chashme ka Pani peene ko Diya Jayega aur kantedaar sookhi ghaas k ilawa unke liye koi Khana na hoga Jo mota Kare na bhook mitaye ga..
(Surah Ghaashiya_A. 5--7)
3. Ghisleen.. (Yani, Zakhmon ko wash kiya gaya Pani)
Mafhum E Quran๐๐ป
Aaj yahan in (gunahgaron) ka koi gham khwar hai na ghisleen k ilawa koi Khana hai, jise inke ilawa koi doosra nahi khayega...
(Surah Haaq'qah_A. 35--37)
4. Zaa'ghussah.. (Yani, halaq me phans'ne wala Khana)
๐ฅ Zaqqum, zaree aur ghisleen k ilawa jagannamiyon ko aisa zehrila Khana Diya Jayega Jo halaq see phans phans kar neeche utrega...
Mafhum E Quran๐๐ป
Hamare paas (jahannamiyon k liye) bhaari bediyaan aur bhadakti huwi aag hai, halaq me phans'ne wala Khana aur dard'naak azaab hai..
(Surah Muzzammil_A. 12--13)
โ To b continue...
No comments :
Post a Comment