Jahannam Ka Bayan
#Part.10
----- Ahl E Jahannam k Mashrubaat -----
3. Maa'un kal'muhl-- (Oil ki talchatt jaisa khaolta huwa mashrub)
Mafhum E Quran๐๐ป
Jahannami Pani maange gey to aise Pani se unki tawazzeh ki jayegi Jo pighley (melted) huwe taanbe jaisa hoga Jo chehre ko bhoon daalega, bad'tareen peene ki Cheez aur bht hi buri aaram'gaah..
(Surah kahef_A.29)
4. Ghass'saaqun-- (Black zehrila, badbu'dar mashrub)
Mafhum E Quran๐๐ป
Sarkashon (naa'farmano) k liye bht hi Bura thikaana hai, yani, jahannam. Jisme wo jhulsaye jayenge bht hi buri qiyamgaah, ye hai sarkashon ka anjam. Passs, ab ye loag mazaa chakhenge badbu'dar khaolte huwe pani ka, aur badbu'dar shadeed siyah zehrile Pani ka, aur isi shakal k, baaz doosre Mashrubaat honge..
(Surah Swaad_A.56---58)
5. Teenatul qabaali-- (Jahannamiyon ka paseena)
Mafhum E Hadees๐๐ป
Hz Jaabir raziallahu anhu kehte hain, Rasool Allah sallal'laahu alaihi wa sallam ne farmaya, "Har nashaa awar cheez haraam hai aur Allah taala ne ahad kiya k, Jo nashaa awar mashrub piyega, use jahannam me teenatul qabaal pilayega"... Sahaaba kiraam Raziallahu anhum ne arz kiya, "Ya Rasool Allah SAW, teenatul qabaal kya hai?" .... Aap SAW ne Irshad farmaya, "Jahannamiyon ka paseena"....
(Sahi Muslim)
Mafhum E Quran๐๐ป
Jahannami Jannatiyon ko pukarenge, kuch thoda sa Pani hum par daal do, Jo rizq Allah ne tumhe diya hai, usme se kuch phenk do๐ฅ... Wo jawab denge, Allah ne ye dono cheezien kafiron k liye haraam kardi hain...
(Surah Airaaf_A.50)
โ To b continue...
No comments :
Post a Comment