Showing posts with label JAHANNUM PART'S. Show all posts
Showing posts with label JAHANNUM PART'S. Show all posts

10/05/2017

Jahannami Pani maange gey to

Jahannam Ka Bayan
#Part.10

----- Ahl E Jahannam k Mashrubaat -----
3. Maa'un kal'muhl-- (Oil ki talchatt jaisa khaolta huwa mashrub)

Mafhum E Quran👇🏻

Jahannami Pani maange gey to aise Pani se unki tawazzeh ki jayegi Jo pighley (melted) huwe taanbe jaisa hoga Jo chehre ko bhoon daalega, bad'tareen peene ki Cheez aur bht hi buri aaram'gaah..
(Surah kahef_A.29)

4. Ghass'saaqun-- (Black zehrila, badbu'dar mashrub)
Mafhum E Quran👇🏻
Sarkashon (naa'farmano) k liye bht hi Bura thikaana hai, yani, jahannam. Jisme wo jhulsaye jayenge bht hi buri qiyamgaah, ye hai sarkashon ka anjam. Passs, ab ye loag mazaa chakhenge badbu'dar khaolte huwe pani ka, aur badbu'dar shadeed siyah zehrile Pani ka, aur isi shakal k, baaz doosre Mashrubaat honge..
(Surah Swaad_A.56---58)

5. Teenatul qabaali-- (Jahannamiyon ka paseena)
Mafhum E Hadees👇🏻
Hz Jaabir raziallahu anhu kehte hain, Rasool Allah sallal'laahu alaihi wa sallam ne farmaya, "Har nashaa awar cheez haraam hai aur Allah taala ne ahad kiya k, Jo nashaa awar mashrub piyega, use jahannam me teenatul qabaal pilayega"... Sahaaba kiraam Raziallahu anhum ne arz kiya, "Ya Rasool Allah SAW, teenatul qabaal kya hai?" .... Aap SAW ne Irshad farmaya, "Jahannamiyon ka paseena"....
(Sahi Muslim)

Mafhum E Quran👇🏻
Jahannami Jannatiyon ko pukarenge, kuch thoda sa Pani hum par daal do, Jo rizq Allah ne tumhe diya hai, usme se kuch phenk do😥... Wo jawab denge,  Allah ne ye dono cheezien kafiron k liye haraam kardi hain...
(Surah Airaaf_A.50)

✏ To b continue...

09/04/2017

Jahannum ki gehrai Zameen wo Aasman k darmiyani 

                   بسم الله الرحمن الرحيم

🔥 Jahannum ki Wussat (width)

👉🏻 Jahannum me girne wala patthar Sattar (70) saal k baad Jahannum ki teh tak ponhachta hai..
(Sahi muslim)

👉🏻 Jahannum ki gehrai Zameen wo Aasman k darmiyani faasle se zyada hai..
(Sahi muslim)

👉🏻 Jahannum k ek ihaate (gheraao) ki 2 walls k darmiyan 40 years ki musafat ka fasla hai.
(Isey Abu ya'ala ne riwayat Kiya hai)

👉🏻 Jahannum me ek ek kafir k Kaan aur kandhe k darmiyan 70 yrs ki musafat ka fasla Hoga.

👉🏻 1000 aadmiyon mese 999 Jahannum me Jane k bawajud Jahannum me jaga Bach jayegi aur Jahannum mazeed logon ka mutalba karegi..
Mafhum E  Quran hai..👇🏻
Qayamat k din hum Jahannum se puchenge, kya tu bhar gayi? Wo kahegi kya aur bhi kuch hai?
(Surah Qaaf_A.30)

👉🏻 Hz Abdullah bin Masood raziallahu anhu farmate hain, Qayamat k din Jahannum ko maidan E Hashr me lane k liye 4 arab 90 crores farishte muqarrar honge. Uski 70,000 Rassiyan hongi aur har rassi Ko 70,000 farishte kheench rahe honge.
(Sahi muslim)

✏ To b continue..